Posted in Baab-03 : Dhib’he ‘Azeem Kee Takmeel, Dhibhe 'Azeem

Isaa’i Raahib Ka Izhaare Aqeedat

Aseeraane Karbala Ka Qaafila Apni Manzil Kee Taraf Badh Raha Tha. Raaste Me Raat Ho Gayi, Chunanche “Faateheene Karbala” Ne Padaao Ka Faisla Kiya. Padaao Kee Jagah Ke Qareeb Hee Aik Girja Ghar Tha. Us Gije Me Aik Za’if-ul-Umr Isaa’i Raahin Rehta Tha. Bada Parhezgaar Aur Muttaqi Raahib Tha. Ibaadat Guzaar Bhi Tha Aur Khuda Taras Bhi. Use Jab Ma’loom Huwa Ki Qaafile Waale Apne Paighambar Ke Nawaase Aur Us Ke As’haab Ko Qatl Karne Ke Baa’d Un Ke Sar Le Kar Yazeed Ke Paas Jaa Rahe Hain To Us Ne Qaafile Ke Yazeedi Ameer Se Kaha : Mein Tumhein Das Hazaar Dinaar Dunga Shart Sirf Yeh Hai Ki Aaj Kee Raat Tumhaare Paighambar Ke Nawaase Ka Sar Mere Paas Rahega. Us Ke Liye Tum Padaao Hamaare Paas Karo. Tumhaari Khidmat Bhi Karunga Aur Tumhein Izzat Ke Saath Rawaana Karunga. Yazeedi Ameer Dunydaar Shakhs Tha Harse Dunya Ka Taalib, Us Ne Raahib Kee Sharaa’it Maan Lee’n Aur Husayn Ka Sar Us Raahib Ke Hawaale Kar Diya. Raahib Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Sar Le Kar Andar Chala Gaya. Raahib Ne Neze Se Sare Anwar Ko Utaara Aur Us Ko Khushbudaar Paani Se Dhoya Use Saaf Kiya Aur Khushbu Lagaayi, Khubshurat Ghilaaf Me Rakkha Aur Us Ke Paas Baith Gaya. Raat Bhar Chehra-E-Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Ziyaarat Me Masroof Raha. Woh Raahib Bayaan Karta Hai Ki Husayn ‘Alayh-is-Salam Ka Sar Pada Hai Aur Us Sar Se Noori Shu’aaein Uth Kar Arshe Mu’alla Tak Jaa Rahi Hain, Noor Ka Haala Sare Aqdas Ka Tawaaf Kar Raha Hai Jab Us Ne Yeh Kaifiyyat Dekhi To Saari Raat Qatl Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Par Aansu Bahaata Raha. Husayn ‘Alayh-is-Salam Ke Ihtiraam Aur Tauqeer Ka Use Yeh Sila Mila Ki Sub’h Jab Baahar Nikla Rahmate Khudawandi Ne Use Apni Aaghosh Me Le Liya Us Ne Kalima Padha Aur Daa’ira-E-Islam Me Daakhil Ho Gaya. Aik Taraf Woh Shaqqi-ul-Qalb Ibn Sa’d Ke Sipaahi They Ki Be Adabi Ka Irtikaab Kar Ke Daulate Imaan Se Mahroom Ho Gaye Aur Aik Yeh Raahib Tha Ki Husayn Ke Sar Kee Izzat Karne Ke Sadqe Me Us Ka Daaman Imaab Kee Ne’mat Se Bhar Diya Gaya.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/119_120.]