Karbala Mein Shaam Ne Apne Par Phaila Diye. Sooraj Ne Farte Khauf Se Maghrib Kee Waadiyo’n Me Apna Munh Chhupa Liya. Aasmaan Kee Aankhein Khoon Ke Aansuo’n Se Bhar Gayi’n. Khandane Rasoole Hashimi Ke Aik Aik Fard Ko Qatl Karne Ke Baa’d Yazeediyo’n Ka Kaleja Thanda Na Huwa, Intiqaam Kee Aag Sard Na Hwi, Imam Husayn Aur Un Ke Jaan Nithaar Rufaqa’ Ke Laasho’n Par Ghode Daudne Lage, Ghodo’n Kee Taap Se Shehzadagaane Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Naazuk Jismo’n Ko Raund Daala. Yeh Naazuk Jism Pehle Hee Tegh-o-Teer Se Chhalni Ho Chuke They. Phir Khanwada-E-Ahl-E-Bayt Ke Khaymo’n Ko Aag Laga Dee Gayi. Sakeena Tamanche Khaa Chuki To Khaimo’n Ka Saamaan Bhi Loot Liya Gaya. Apne Paighambar Ke Gharaane Kee Barahna Sar Bibiyo’n Ko Qaidi Banaaya Gaya. Bimaare Karbala Zayn-ul-Aabidin Bhi Qaidi Ban Gaye. Shaheedaane Karbala Ke Saro’n Ko Kaat Kar Nezo’n Par Chadha Liya Gaya. Aur Aseeraane Karbala Ka Qaafila Sayyidah Zaynab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Qiyaadat Me Shaheedo’n Ke Saro’n Ke Saath Koofa Kee Jaanib Rawaana Huwa. Shaam Ke Saaye Kuchh Aur Bhi Gehre Ho Gaye, Bibiyo’n Kee Barahna Saro’n Ko Raat Ne Apne Siyaah Aanchal Se Dhaanp Diya. Abhi Is Qaafile Kee Qiyaadat Bimaare Karbala Hazrat Zayn-ul-Aabidin Kar Rahe They. Us Waqt Un Kee Umr Terah Chawdah Baras Ke Qareeb Thi. Sayyidah Fatimat-uz-Zahra RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Kee Shahzaadi Zaynab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Khawaateen Kee Dekh Bhaal Karti’n Ki Koi Baccha Qaafile Se Bichhad Na Jaaye, Kisi Bibi Ke Sar Se Dupatta Ludhak Na Jaaye.
–
[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/118_119.]