Fasl Duwum :
Khaandaane Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Lahoo Se Tehreer Hone Waali
Daastaane Hurriyyat-o-Iythaar
10 Muharram Ko Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Iztiraab
Gizishta Fasl Me Hum Ne Bayaan Kiya Ki Tajdare Ka’enat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ko Karbala Kee Mitti De Kar Farmaya “Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha! Yaad Rakhna Aur Dekhte Rehna Ki Jab Yeh Mitti Khoon Me Badal Jaaye To Samajh Lena Mera Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Shaheed Ho Gaya Hai.” (Goya Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Ilm Me Tha Ki Ummi Salamah, Shahdate Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Waqt Zinda Hogi) Ummi Salamah Farmaati Hain Ki Mein Ne Woh Mitti Sambhaal Kar Rakkhi Hatta Ki Hjiri Ke 60 Baras Guzar Gaye, 61 Ka Maahe Muharram Aaya. 10 Muharram-ul-Haraam Ka Din Tha Do Paher Ka Waqt Tha Mein Leti Huwi Thi Khaab Me Dekha Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Tashreef Laaye Hain Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ro Rahe Hain, Un Kee Mubarak Aankho’n Se Aansoo Rawa’n Hain, Sare Anwar Aur Reesh Mubarak Khaak Aaloodah Hai, Mein Poochhti Hoo’n Ya RasoolAllah! Yeh Kaifiyyat Kya Hai? Mere Aaqa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Rote Huwe Farmate Hain Ummi Salamah! Abhi Abhi Husayn Ke Maqtal(Karbala) Se Aa Raha Hoo’n, Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Shahdat Ka Manzar Dekh Kar Aaya Hoo’n, Idhar Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne Khaab Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Ziyaarat Kee Aur Udhar Makkah Mu’azzamah Me Hazrat Abd Allah Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Farmate Hain Ki Do Paher Ka Waqt Tha Mein Leta Huwa Tha. Khaab Dekhta Hoo’n Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Tashreef Laaye Hain, Pareshaan Haal Hain, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Daste Mubarak Me Aik Shishi Hai, Us Shishi Me Khoon Hai Mein Ne Puchha Ki Ya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Yeh Khoon Kaisa Hai? Farmaya : Ibn Abbas! Abhi Abhi Maqtale Husayn Se Aaya Hoo’n Yeh Husayn Aur Us Ke Saathiyo’n Ka Khoon Hai, Aaj Saara Din Karbala Me Guzaara. Karbala Ke Shaheedo’n Ka Khoon Is Shishi Me Jam’a Karta Raha Hoo’n.
Agar Koi Sawaal Karne Waala Yeh Sawaal Kare Ki 72 Shaheedo’n Ka Khoon Aik Shishi Me Kaise Sama Sakta Hai To Jawaab Mahaz Yeh Hoga Ki Jis Tarah 1400 Sahabiyo’n Ke Ghusl Ka Paani Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Aik Lote Me Band Ho Gaya Tha Ya Pandrah Sau Sahabah Ka Khaana Aik Handiya’n Me Sama Gaya Tha Usi Tarah 72 Shuhda’ Ka Khoon Bhi Aik Shishi Me Sama Sakta Hai.
Umm-il-Mu’minin Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Baare Me Hazrat Salma Kehti Hain :
دخلت علی ام سلمة و هی تبکی فقلت : ما يبکيک؟ قالت : رايت رسول اﷲ صلى الله تعالى عليه وآله وسلم في المنام و علي رأسه ولحيته التراب فقلت : مالک يا رسول اﷲ قال : شهدت قتل الحسين انفا
“Mein Hazrat Ummi Salamah Kee Khidmat Me Haazir Huwi. Woh Ro Rahi Thi Mein Ne Puchha “Aap Kyun Ro Rahi Hai?” Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne Farmaya “Mein Ne RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Khaab Me Dekha Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Sare Anwar Aur Daadhi Mubarak Par Gard-o-Gubaar Hai. Mein Ne Arz Kiya “Ya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kya Baat Hai? (Yeh Gard-o-Gubaar Kaisa Hai) Aap Ne Farmaya “Mein Ne Abhi Abhi Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Shaheed Hote Dekha Hai.”
–
[Sunan Tirmidhi, Abwab-ul-Manaqib,
Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/98_100.]