Posted in Baab-03 : Dhib’he ‘Azeem Kee Takmeel, Dhibhe 'Azeem

Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke As’haab Wafaadaar

Al-Bidayah Wa An-Nihayah Me Ibn Kathir Riwayat Karte Hain Hazrat Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Apne Rufaqa’ Ko Jam’a Kiya Aur Farmaya : Yaad Rakkho Kal Ka Din Dushman Se Muqabale Ka Din Hai. Kal Ka Din Yawme Shahadat Hai. Aazmaa’ish Kee Badi Kadi Ghadi Aane Waale Hai. Mein Tumhein Ijaazat Deta Hoo’n Ki Tum Apne Apne Gharo’n Ko Chale Jaao. Mein Wa’dah Karta Hoo’n Qiyaamat Ke Din Apne Naana Jaan Ke Huzoor Tumhaari Bewafaayi Ka Gila Nahin Karunga Aur Gawaahi Dunga Ki Naana Jaan Yeh Mere Wafaadaar They, Mein Ne Bakhushi Inhein Jaane Kee Ijaazat Dee Th. Jis Jis Ko Saath Le Kar Jaana Chaahte Ho Le Jaao, Yazeediyo’n Ko Sirf Meri Gardan Kee Zaroorat Hai Jab Meri Gardan Kaat Lenge To Un Ke Kaleje Thande Ho Jaaeinge Tum Apni Jaanein Bachaao Aur Hifz-o-Amaan Se Waapas Chale Jaao. Jood-o-Sakha Ke Parwardah Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Aakhiri Lamhaat Me Bhi Dusro’n Ka Bhala Chaahte Nazar Aate Hain Aur Apne Saathiyo’n Ko Zindagi Ke Is Naazuk Mod Par Bhi Apne Hamraah Yazeedi Intiqaam Ke Bhent Chadhne Se Bachaana Chaahte Hain Lekin Azeemat Ke Musaafiro’n Ko Aafreen Ki Unhone Apni Wafaadaari Ko Zindagi Kee Aarizi Mohlat Par Tarjeeh Dee. Hazrat Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Jaan Nithaar As’haab Aur Shehzado’n Ne Arz Kiya Ki Imaame Aali Maqaam! Khuda Woh Din Na Laaye Ki Hum Aap Ko Chhod Kar Chale Jaaein….. Aap Ke Baghair Dunya Me Rah Kar Hum Kya Karenge…….Hum Kat Marenge……Hamaari Gardanein Aap Ke Qadmo’n Me Hogi……Hum Apni Jaanein Aap Par Nithaar Kar Denge……Hamaari Laasho’n Par Se Guzar Kar Koi Badbakht Aap Ko Nuqshan Pahunchaaega…..Hum Hargiz Hargiz Aap Ko Tanha Nahin Chhodenge. Hazrat Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Ne Apne As’haabe Wafaadaar Ka Yeh Jazba-E-Iythaar Dekha To Farmaya Achchha! Yeh Aakhiri Raat Hai, Sajde Me Gir Jaao, Saari Raat Ibaadat Aur Munaajaat Me Guzri. Jaan Nithaaraane Husayn Ke Khaimo’n Se Raat Bhar Allah Kee Hamd-o-Thana Kee Sadaaein Aati Rahi’n.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/101_102.]