- Hazrat Jabir Bin Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki :
سمعت رسول اﷲ صلى الله تعالى عليه وآله وسلم یقول الناس عن شجر شتی و انا و علی من شجرة واحدة
“Mein Ne RasoolAllah SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Se Suna Aap SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Ne Farmaya Tamaam Log Juda Juda Darakhto’n Se Hain Magar Mein Aur Ali Aik Hee Darakht Se Hain.”
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/89, Hadith-4162.]
Aik Hee Darakht Se Hone Me Aik To Nisbati Qurbat Ka Izhaar Ho Raha Hai, Dusri Qurbat Woh Nazaryaati Comitmint Thi Jo Islam Ke Daamane Rahmat Me Aane Aur Baraahe Raast Shahre Ilm Ke Ilme Hikmat Aur Daanaa’i Ke Charaagho’n Se Roshni Kashid Karne Ke Baa’d Haasil Huwi.
عن علی رضی اﷲ عنه إبن أبی طالب ان النبی صلى الله تعالى عليه وآله وسلم أخذ بید حسن و حسین فقال من احبنی و احب هذین و اباهما و امها کان معی فی درجتی یوم القیامة
“Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Riwaayat Hai Be Shak Huzoor SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Ne Hazrat Hasan-o-Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ka Hath Pakda Aur Farmaya jis Ne Mujh Se Mahabbat Kee Aur In Dono’n Se Aur In Ke Maa’n Baap Se Mahabbat Kee Woh Qiyaamat Ke Roz Mere Saath Meri Qurbat Ke Darja Me Hoga.”
–
[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/642, Hadith-3733,
Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/59_60.]