Posted in Baab-02 : Faize Nubuwwat-o-Wilaayat Kee Baqa’ Ka Uloohi Nizaam, Dhibhe 'Azeem

Qaraabat Daaraanaane Rasoole Hashimi

  1. Sahih Muslim Sharif Me Hazrat Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai.

ولما نزلت هذه الایة ندع ابناء نا و ابناء کم دعا رسول اﷲ صلى الله تعالى عليه وآله وسلم علیا و فاطمة و حسناً و حسیناً فقال اللهم هؤلاء اهلی

“Jab Yeh Aaayt(e Mubaahala) Ki “Hum (Mil Kar) Apne Beto’n Ko Aur Tumhaare Beto’n Ko Bulaate Hain.” Naazil Huwi To RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ko Jam’a Kiya Aur Farmaya Aye Allah Yeh Mere Ahl-E-Bayt Hain.”

[Muslim Fi As-Sahih, 02/278.]

 

Jab Aayate Mubaahala Naazil Hiwi To Huzoor ‘Alayh-is-Salatu Wa’s-Salam Ne Isa’iyo’n Ko Challenge Karte Huwe Farmaya Ki 1_Hum Apne Beto’n Ko Laate Hain Tum Apne Beto’n Laao. 2_Hum Apni Azwaaj Ko Laate Hain Tum Apni Aurto’n Ko Laao. Beto’n Ko Laane Ka Waqt Aaya To Huzoor ‘Alayh-is-Salatu Wa’s-Salam Ne 1_Hasan Aur Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ko Pesh Kar Diya. 2_Aurto’n Ka Mu’amala Aaya To Hazrat Fatimah Ko Pesh Kar Diya Aur Apni Jaano’n Ko Laane Kee Baat Huwi To Huzoor SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Ne Apne Sath Ali Ko Le Aaye Ya’ni Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Apni Jaan Ke Darje Par Rakkha. Aayat Aur Hadithe Mubaraka Ke Alfaaz Par Ghaur Farmaaein Aayate Karimah Me Farmaya Ja Raha Hai Ki :

تَعَالَوْا نَدْعُ أَبْنَاءَنَا وَأَبْنَاءَكُمْ وَنِسَاءَنَا وَنِسَاءَكُمْ وَأَنْفُسَنَا وَأَنْفُسَكُمْ ۝

[
آل عمران، ٣ : ٦١]

 

“Aa Jaao Hum (Mil Kar) Apne Beto’n Ko Aur Tumhaare Beto’n Ko Aur Apni Aurto’n Ko Aur Tumhaari Aurto’n Ko Aur Apne Aap Ko Bhi Aur Tumhein Bhi (Aik Jagah Par) Bula Lete Hain.”

 

Hadithe Paak Me Farmaya Ja Rahah Hai  دعا علیا و فاطمة و حسناً و حسیناً (أَنْفُسَنَا) Aur فاطمة (نِسَاءَنَا) Aur حسناً و حسیناً (أَبْنَاءَنَا) Huwe. Yeh Aqidah Kisi Shi’a Ka Nahin Ahle Sunnat Wa’l Jama’at Ka Hai Aur Jo Log Is Mughaalte Me Mubtala Hain Ki Ahle Sunnat Hubbe Ali Ya Hubbe Ahle Bayte At’har Se Aari Hain Woh Dar Asl Khud Farebi Me Mubtala Hain, Ahl-E-Sunnat Sawade A’zam Banta Hee Tab Hai Jab In Nuqooshe Qudsiya Se Mahabbat Un Ke Aqa’id Ka Markaz-o-Mehwar Ban Jaaye. Sayyidina Ali Ho’n Ya Sayyida-E-Ka’enat Aur Hasanayn Karimayn Yeh Shajare Nubuwwat Ke Shaakhein Hain Jin Ke Barg-o-Baar Se Dar Asl Gulistaane Muhammadi SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Me Imaan-o-Amal Kee Bahaarein Jalwah Figan Hain In Se Sirf Nazar Kar Ke Ya In Se Bughz-o-Hasad Kee Bimaari Me Mubtala Koi Shakhs Huzoor SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Ke Ummati Kehlaane Ka Haqudaar Nahin Kuja Ke Woh Imaan Aur Taqwa Ke Da’we Karta Phire.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/58_59.]