Posted in Baab-02 : Faize Nubuwwat-o-Wilaayat Kee Baqa’ Ka Uloohi Nizaam, Dhibhe 'Azeem

Qur’an Aur Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

  1. Hazrat Aboo Dhar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Ne Farmaya :

علی مع القرآن والقرآن مع علی لن یتفر قاحتی یر دا علی الحوض

“Ali Qur’an Ke Saath Hai Aur Qur’an Ali Ke Saath Hai Yeh Dono’n (Is Tarah Jude Rahenge Aur) Juda Nahin Honge Hatta Ke Hawze Kawthar Par Mil Kar Mere Paas Aaenge.”

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/124.]

 

Yeh Keh Kar Baat Khatm Kar Dee Ali Qur’an Ke Saath Hai Aur Qur’an Ali Ke Saath, Qur’an Allah Rabb-ul-Izzat Kee Aakhiri Ilhaami Kitaab Hai. Huzoor SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Ko Chalta Phirta Qur’an Kaha Jaata Hai Oopar Hum Ne Dekha Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Apni Zaat Se Ali Kee Zaat Ko Juda Nahi Karte. Yaha’n Tak Ki Qur’an Se Ali Ke Ta’alluq Kee Bhi Wazaahat Farmaayi Ki Qur’an-o-Ali Is Tarah Jude Hote Hain Ki Roze Jaza Bhi Yeh Ta’alluq Tootne Na Paaega Aur Ali Aur Qur’an Isi Haalat Me Mere Paas Hawze Kawthar Par Aaenge.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/57_58.]