Posted in Baab-02 : Faize Nubuwwat-o-Wilaayat Kee Baqa’ Ka Uloohi Nizaam, Dhibhe 'Azeem

Ita’ate Ali Ita’ate Khuda Kee Zamaanat

27.

عن ابی ذر رضی اﷲ عنه قال قال رسول اﷲ صلى الله تعالى عليه وآله وسلم من اطاعنی فقد اطاع اﷲ ومن عصانی فقد عصی اﷲ ومن اطاع علیا فقد اطاعنیومن عصی علیاً فقد عصانی

“Hazrat Aboo Dhar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Kaha Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Ne Farmaya Jis Ne Meri Ita’at Kee Us Ne Allah Kee Ita’at Kee Aur Jis Ne Meri Naa Farmani Kee Us Ne Allah Kee Naa Farmaani Kee Jis Ne (Hazrat) Ali Kee Ita’at Ke Tehqeeq Us Ne Meri Ita’at Kee Aur Jis Ne (Hazrat) Ali Kee Naa Farmaani Kee Us Ne Meri Naa Farmaani Kee.”

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/121.]

 

Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ali Kee Naa Farmaani Ko Apni Naa Farmaani Bata Rahe Hain. Mudda’a Yeh Tha Ki Yeh Baat Tay Paa Jaae Aur Is Me Koi Ib’haam Na Rahe Ki Wilaayate Mustafa SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Ka Faiz Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Chala Hai Aur Ali Kee Ita’at Chunki Rasool Kee Ita’at Hai Aur Rasool Kee Ita’at Allah Kee Ita’at Kee Zaamin Hai Lihaza Ali Kee Ita’at Ita’ate Ilaahi Ka Zari’a Hai.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/56_57.]