- “Hazrat Maalik Ne Dawud Bin Husain Se Riwayat Kiya, Unhone Hazrat A’raj Ko Farmate Huwe Suna Ki Mein Ne Logo’n Ko Is Haal Me Paaya Ki Woh Ramadaan Me Kafiro’n Par Laanat Kiya Karte They Unhone Farmaya (Namaze Tarawih Me) Qaari Soorah Baqrah Ko Aanth-08 Rak’ato’n Me Padhta Aur Ab Baaqi Baarah-12 Rak’atein Padhi Jaati To Log Dekhte Ki Imam Inhein Halki (Mukhtasar) Kar Deta.”
رواه مالك و البيهقي و الفريابي و قال : إسناده قوي.
“Hazrat Shaah Wali Allah Dahelwi Ne (Is Hadith Kee Sharh Me) Bayan Kiya Ki Bees-20 Rak’at Tarawih Aur Teen³ Witr Shawaafe Aur Ahnaaf Ka Mazhab Hai.
Isee Tarah Mahalli Ne Imam Bayhaqi Se Bayan Kiya.”
–
[Malik Fi Al-Muwatta’, 01/115, Raqam-753,
Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/497, Raqam-4401,
Bayhaqui Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/177, Raqam-3271,
Firyabi Fi As-Siyam, 01/133, Raqam-181,
Ibn ‘Abd-il-Barr Fi At-Tamhid, 17/405,
Dhahabi Fi Siyar A’lam An-Nubala’, 05/70, Raqam-25,
Siyooti Fi Tanwir-ul-Hawalik Sharh’Ala Muawatta’ Malik, 01/105,
Zarqani Fi Sharh-ul-Zarqani ‘Ala Muwatta’ Imam Malik, 01/342,
Wali-Allah Ad-Dahelwi Al-Musawi Min Ahadith Al-Muwatta’, 01/175,
At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-24, 25, Raqam-18.]