Posted in Bees Rak’at Namaze Tarawih Ka Suboot

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih

التَّصْرِيْحُ

فِي

صَلَاةِ التَّرَاوِيْحِ

﴾بس رکعت نمازِ تراویح کا ثبوت﴿

تألیف
شیخ الاسلام ڈاکٹر محمد طاہر القادری

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ

مَـوْلَاىَ  صَـلِّ  وَ سَـلِّـمْ  دَآئـِمـًا   اَبَدًا
عَلـىٰ   حَبِيْبِكَ   خَيْـرِ  الْخَلْقِ   كُلِّهـِمٖ

نَبِيُّنَـا   الآمـِرُ   الـنَّـاهِي   فـَلاَ   أَحَدٌ
أَبـَرَّ  فـِي  قـَوْلِ  لاَ  مِـنْـهُ  وَلاَ  نـَعـَمٖ

﴾صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَعَلىٰ آلِهِ وَأَصَحابِهِ وَبَارِكَ وَسَلَّمَ﴿

Posted in 02 : Namaze Taraweeh Kee Ta'dade Rak'at Ka Bayan, Bees Rak’at Namaze Tarawih Ka Suboot

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih : 12

Namaze Tarawih Aur Us Kee Ta’dade Rak’at Ka Bayan

 

  1. “Umm-ul-Mu’minin Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Aik Raat Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Masjid Me (Nafl) Namaz Padhi To Logo’n Ne Bhi Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Namaz Padhi.
    Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Agli Raat Namaz Padhi To Ziyaada Log Jam’a Ho Gaye Phir Teesri³ Ya Chauthi⁴ Raat Bhi Aa Khade Huwe Lekin Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Un Kee Taraf Tashreef Na Laaye.
    Jab Subah Huwi To Farmaya :
    Mein Ne Dekha Jo Tum Ne Kiya Aur Mujhe Tumhare Paas (Namaz Padhaane Ke Liye) Aane Se Sirf Andeshe Ne Roka Ki Yah Tum Par Farz Kar Dee Jaayegi Aur Yah Ramadaan-ul-Mubarak Ka Waaqia Hai.”

متفق عليه و هذا لفظ البخاري.

 

Imam Khuzayma Aur Imam Ibn Hibban Ne In Alfaz Ka Izaafa Kiya :
Aur Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Unhein Qiyame Ramadaan (Tarawih) Kee Raghbat Dilaaya Karte They Lekin Hukman Nahin Farmate They Chunanche (Targheeb Ke Liye) Farmate Ki Jo Shakhs Ramadaan-ul-Mubarak Me Iman Aur Sawab Kee Niyyat Ke Saath Qiyaam Karte Hai To Us Ke Pichhle Tmama Gunaah Bakhsh Diye Jaate Hain.
Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Wisaal Mubarak Tak Qiyame Ramadaan Kee Yahi Soorat Barqaraar Rahi Aur Yahi Soorat Khilafate Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aur Khilafate Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Awaa’il Daur Tak Jaari Rahi Yaha’n Tak Ki Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Unhein Hazrat Ubay Bin Ka’b RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Iqtida’ Me Jam’a Kar Diya Aur Woh Unhein Namaze (Tarawaih) Padhaaya Karte They, Lihaaza Yah Woh Ibtidayi Zamaana Hai Jab Log Tarawih Ke Liye (BaaJama’at) Ikat’tha Hote They.”

 

Aur Imam Asqalani Ne “Al-Talkhis” Me Bayan Kiya Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Logo’n Ko Do² Raatein 20 Rak’at Namaz Padhaayi Jab Teesri³ Raat Log Phir Jam’a Ho Gaye To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Un Kee Taraf (Huzara Mubarak Se Baahar)  Tashreef Nahin Laaye, Phir Subah Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :
Mujhe Andesha Huwa Ki (Namaze Tarawih) Tum Par Farz Kar Dee Jaayegi, Lekin Tum Is Kee Taaqat Na Rakkhoge.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/380, Raqam-1077,

Bukhari Fi As-Sahih, 02/708, Raqam-1908,

Muslim Fi As-Sahih, 01/524, Raqam-761,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/49, Raqam-1373,

Nasa’i Fi As-Sunan, 03/202, Raqam-1604,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/410, Raqam-1297,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/113, Raqam-248,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/177, Raqam-25485,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/353, Raqam-141,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/338, Raqam-2207,

Abd-ur-Razzaque Al-Musannaf, 03/43, Raqam-4723,

Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/492, Raqam-4377,

Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Sughara, 01/480, Raqam-486,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Talkhis-ul-Habir, 02/21,

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-17, 18, 19, Raqam-12.]

Posted in 02 : Namaze Taraweeh Kee Ta'dade Rak'at Ka Bayan, Bees Rak’at Namaze Tarawih Ka Suboot

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih : 13

  1. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Unhone Farmaya :
    Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam (Hujare Mubarak Se) Baahar Tashreef Laaye To (Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Dekha Ki) Ramadaan-ul-Mubarak Me Log Masjid Ke Goshe Me Namaz Padh Rahe They, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Daryaft Farmaya :
    Ye Koun Hain?
    Arz Kiya Gaya :
    Ye Woh Log Hai Jinhein Qur’an Paak Yaad Nahin Aur Hazrat Ubay Bin Ka’b Namaz Padhaate Hain Aur Ye Log Un Kee Iqtida’ Me Namaz Padhte Hain To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :
    Inhone Durust Kiya Aur Kitna Hee Achchha Amal Hai Jo Inhone Kiya.”

Is Hadith Ko Imam Aboo Dawud, Ibn Khuzaymah Ibn Hibban Wa Bayhaqui Ne Riwayat Kiya Hai

 

Aur Bayhaqi Kee Aik Riwayat Me Hai Farmaya :
Inhone Kitna Ahsan Iqdaam Ya Kitna Achchha Amal Kiya Aur Un Ke is Amal Ko Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Naapasand Nahin Farmaya.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/50, Raqam-1377,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/339, Raqam-2208,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 06/282, Raqam-2541,

Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/495, Raqam-4386, 4388,

Ibn ‘Abd-il-Barr Fi At-Tamhid, 08/111,

Ibn Qudamah Fi Al-Mughni, 01/455,

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-19, 20, Raqam-13.]

Posted in 02 : Namaze Taraweeh Kee Ta'dade Rak'at Ka Bayan, Bees Rak’at Namaze Tarawih Ka Suboot

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih : 14

  1. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Namaze Tarawih Padhne Kee Raghbat Dilaaya Karte They Lekin Hukman Nahin Farmete They Chunanche Farmete Ki Jis Ne Ramadaan-ul-Mubarak Me Husoole Sawab Kee Niyyat Se Aur Halate Iman Ke Saath Qiyam Kiya To Us Ke Pichhle (Tamam) Gunaah Bakhsh Diye Jaate Hain.
    Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Wisaal Mubarak Tak Namaze Tarawih Kee Yahi Soorat Barqaraar Rahi Aur Khilafate Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Me Aur Phir Khilafate Umar Faruk RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Shuru Tak Yahi Soorat Barqaraar Rahi.”

متفق عليه و هذا لفظ مسلم.

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/707, Raqam-1905,

Muslim Fi As-Sahih, 01/523, Raqam-759,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/171, Raqam-808,

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح،

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/49, Raqam-1371,

Nasa’i Fi As-Sunan, 04/154, Raqam-2192,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/113, Raqam-249,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/281, Raqam-7774,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/338, Raqam-2207,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/353, Raqam-141,

Abd-ur-Razzaque Al-Musannaf, 04/258, Raqam-7719,

Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/493, Raqam-4378,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/120, Raqam-9299,

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-20, 21, Raqam-14.]

Posted in 02 : Namaze Taraweeh Kee Ta'dade Rak'at Ka Bayan, Bees Rak’at Namaze Tarawih Ka Suboot

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih : 15

  1. “Hazrat ‘Abd-ir-Rahman Bin ‘Abd-il-Qari Riwayat Karte Hain Ki Mein Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Saath Ramadan Kee Aik Raat Masjid Kee Taraf Nikla To Log Alag-Alag They Koi Tanha Namaz Padh Raha Tha Aur Kisi Kee Iqtida’ Me Aik Giroh Namaz Padh Raha Tha.
    Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya :
    Mere Khayaal Me Inhein Aik Qaari Ke Pichhe Jam’a Kar Doo’n To Achchha Hoga Phir Unhone Hazrat Ubay Bin Ka’b RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Pichhe Sab Ko Jam’a Kar Diya, Phir Mein Aik Aur Raat Un Ke Saath Nikla Aur Log Aik Imam Ke Pichhe Namaz Padh Rahe They Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne (Unhein Dekh Kar) Farmaya :
    Yah Kitni Achchhi Bid’at Hai, Aur Jo Log Is Namaz (Tarawih) Se So Rahe Hain Woh Namaz Ada Karne Waalo’n Se Ziyaada Behtar Hain Aur Is Se Un Kee Muraad Woh Log They (Jo Raat Ko Jaldi So Kar) Raat Ke Pichhle Pahar Me Namaz Ada Karte They Aur Tarawih Ada Karne Waale Log Raat Ke Pahle Pahar Me Namaz Ada Karte They.”

رواه البخاري و مالك.

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/707, Raqam-1906,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/114, Raqam-650,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 02/155, Raqam-155,

Abd-ur-Razzaque Al-Musannaf, 04/258, Raqam-7723,

Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 12, 493, Raqam-4378,

Bayhaqui Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/177, Raqam-3269,

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-21, 22, Raqam-15.]

Posted in 02 : Namaze Taraweeh Kee Ta'dade Rak'at Ka Bayan, Bees Rak’at Namaze Tarawih Ka Suboot

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih : 16

  1. “Hazrat ‘Abd-ir-Rahman Bin Awf RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ramadaan-ul-Mubarak Ka Zikr Farmaya To Sab Mahino’n Par Use Fazilat Dee.
    Is Ke Baad Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :
    Jo Shakhs Iman Aur Husoole Sawab Kee Niyyat Ke Saath Ramadaan Kee Raato’n Me Qiyam Karta Hai To Woh Gunahon Se Yoo’n Paak Saaf Ho Jaata Hai Jayse Woh Us Din Tha, Jab Use Us Kee Maa Ne Janm Diya Tha.”

Is Hadith Ko Imam Nasa’i Ne Riwayat Kiya Hai.

 

“Aur Aik Riwayat Me Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :
BeShak Allah Ta’ala Ne Ramadaan Ke Roze Farz Kiye Hain Aur Mein Ne Tumhare Liye Is Ke Qiyam (Namaze Tarawih) Ko Sunnat Qaraar Diya Hai Lihaaza Jo Shakhs Iman Aur Husoole Sawab Kee Niyyat Ke Saath Mahe Ramadaan Ke Dino’n Me Roze Rakhta Hai Aur Raato’n Me Qiyam Karta Hai Woh Gunaaho’n Se Yoo’n Paak Saaf Ho Jaata Hai Jayse Woh Us Din Tha Jab Use Us Kee Maa Ne Janm Diya Tha.”

رواه النسائي و ابن ماجة.

[Nasa’i Fi As-Sunan, 04/158, Raqam-2208, 2210,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/421, Raqam-1328,

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-22, 23, Raqam-16.]

Posted in 02 : Namaze Taraweeh Kee Ta'dade Rak'at Ka Bayan, Bees Rak’at Namaze Tarawih Ka Suboot

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih : 17

  1. “Hazrat Yazeed Bin Rumaan Ne Bayan Kiya Ki Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Daur Me Log (Ba-Shumool-Witr) 23 Rak’aat Padhte They.”

رواه مالك والفريابي والبيهقي. وقال الفريابي : إسناده ورجاله موثقون

وقال ابن قدامة في المغني : وهذا كالإجماع.

[Malik Fi Al-Muwatta’, 01/115, Raqam-252,

Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/496, Raqam-4394,

Bayhaqui Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/177, Raqam-3270,

Firyabi Fi As-Siyam, 01/132, Raqam-179,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,04/253,

Dirayah Takhrij Ahadith Al-Hidayah, 01/203, Raqam-257,

Ibn ‘Abd-il-Barr Fi At-Tamhid, 08/115,

Zarqani Fi Sharh-ul-Zarqani ‘Ala Muwatta’ Imam Malik, 01/342,

Ibn Qudamah Fi Al-Mughni, 01/456,

Shawkani Fi Nayl-ul-Awtar Min Asrar Muntaqa Al-Akhbar, 03/63,

Zayla’iy Fi Nasb-ur-Rayah Takhrij Ahadith Al-Hidayah, 02/154,

Ibn Rushd Fi Bidayat-il-Mujtahid Wa Nihayat-il-Muqtasid, 01/152,

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-23, 24, Raqam-17.]

Posted in 02 : Namaze Taraweeh Kee Ta'dade Rak'at Ka Bayan, Bees Rak’at Namaze Tarawih Ka Suboot

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih : 18

  1. “Hazrat Maalik Ne Dawud Bin Husain Se Riwayat Kiya, Unhone Hazrat A’raj Ko Farmate Huwe Suna Ki Mein Ne Logo’n Ko Is Haal Me Paaya Ki Woh Ramadaan Me Kafiro’n Par Laanat Kiya Karte They Unhone Farmaya (Namaze Tarawih Me) Qaari Soorah Baqrah Ko Aanth-08 Rak’ato’n Me Padhta Aur Ab Baaqi Baarah-12 Rak’atein Padhi Jaati To Log Dekhte Ki Imam Inhein Halki (Mukhtasar) Kar Deta.”

رواه مالك و البيهقي و الفريابي و قال : إسناده قوي.

 

“Hazrat Shaah Wali Allah Dahelwi Ne (Is Hadith Kee Sharh Me) Bayan Kiya Ki Bees-20 Rak’at Tarawih Aur Teen³ Witr Shawaafe Aur Ahnaaf Ka Mazhab Hai.
Isee Tarah Mahalli Ne Imam Bayhaqi Se Bayan Kiya.”

[Malik Fi Al-Muwatta’, 01/115, Raqam-753,

Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/497, Raqam-4401,

Bayhaqui Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/177, Raqam-3271,

Firyabi Fi As-Siyam, 01/133, Raqam-181,

Ibn ‘Abd-il-Barr Fi At-Tamhid, 17/405,

Dhahabi Fi Siyar A’lam An-Nubala’, 05/70, Raqam-25,

Siyooti Fi Tanwir-ul-Hawalik Sharh’Ala Muawatta’ Malik, 01/105,

Zarqani Fi Sharh-ul-Zarqani ‘Ala Muwatta’ Imam Malik, 01/342,

Wali-Allah Ad-Dahelwi Al-Musawi Min Ahadith Al-Muwatta’, 01/175,

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-24, 25, Raqam-18.]

Posted in 02 : Namaze Taraweeh Kee Ta'dade Rak'at Ka Bayan, Bees Rak’at Namaze Tarawih Ka Suboot

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih : 19

  1. “Hazrat Urwah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Logo’n Ko Mahe Ramadaan Me Tarawih Ke Liye Ikat’tha Kiya.
    Mardon Ko Hazrat Ubay Bin Ka’b RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aur Aurto’n Ko Sulayman Bin Hasma RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Tarawih Padhaate.”

رواه البيهقي.

[Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/493, Raqam-4380,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,04/252, 253, Raqam-1905,

Zarqani Fi Sharh-ul-Zarqani ‘Ala Muwatta’ Imam Malik, 01/338, 341,

Siyooti Fi Tanwir-ul-Hawalik Sharh’Ala Muawatta’ Malik, 01/105,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Dirayah Fi Takhrij Ahadith-ul-Hidayah, 01/203,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Talkhis-ul-Habir, 02/24, Raqam-549,

Ibn Qudamah Fi Al-Mughni, 01/455,

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-25, 26, Raqam-19.]

Posted in 02 : Namaze Taraweeh Kee Ta'dade Rak'at Ka Bayan, Bees Rak’at Namaze Tarawih Ka Suboot

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih : 20

  1. “Hazrat Aboo ‘Isa Tirmidhi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Apni Sunan Me Farmaya :
    Aksar Ahl-E-Ilm Ka Mazhab 20 Rak’aat Tarawih Hai Jo Ki Hazrat ‘Ali, Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Aur Huzoor Sarware Kaynat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Deegar Sahaba Se Marwi Hai Yahi (كبارتابعين) Sufyan Sauri, ‘Abd Allah Bin Mubarak Aur Imam Shafi’iy RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ka Qaul Hai Aur Imam Shafi’iy Ne Farmaya :
    Mein Ne Apne Shahar Makka Me (Ahl-E-Ilm Ko) Bees-20 Rak’at Tarawih Padhte Paaya.”

    [Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/169, Raqam-806,

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-26, Raqam-20.]