- “Hazrat ‘Abd-ir-Rahman Bin ‘Abd-il-Qari Riwayat Karte Hain Ki Mein Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Saath Ramadan Kee Aik Raat Masjid Kee Taraf Nikla To Log Alag-Alag They Koi Tanha Namaz Padh Raha Tha Aur Kisi Kee Iqtida’ Me Aik Giroh Namaz Padh Raha Tha.
Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya :
Mere Khayaal Me Inhein Aik Qaari Ke Pichhe Jam’a Kar Doo’n To Achchha Hoga Phir Unhone Hazrat Ubay Bin Ka’b RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Pichhe Sab Ko Jam’a Kar Diya, Phir Mein Aik Aur Raat Un Ke Saath Nikla Aur Log Aik Imam Ke Pichhe Namaz Padh Rahe They Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne (Unhein Dekh Kar) Farmaya :
Yah Kitni Achchhi Bid’at Hai, Aur Jo Log Is Namaz (Tarawih) Se So Rahe Hain Woh Namaz Ada Karne Waalo’n Se Ziyaada Behtar Hain Aur Is Se Un Kee Muraad Woh Log They (Jo Raat Ko Jaldi So Kar) Raat Ke Pichhle Pahar Me Namaz Ada Karte They Aur Tarawih Ada Karne Waale Log Raat Ke Pahle Pahar Me Namaz Ada Karte They.”
رواه البخاري و مالك.
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 02/707, Raqam-1906,
Malik Fi Al-Muwatta’, 01/114, Raqam-650,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 02/155, Raqam-155,
Abd-ur-Razzaque Al-Musannaf, 04/258, Raqam-7723,
Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 12, 493, Raqam-4378,
Bayhaqui Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/177, Raqam-3269,
At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-21, 22, Raqam-15.]