- “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Namaze Tarawih Padhne Kee Raghbat Dilaaya Karte They Lekin Hukman Nahin Farmete They Chunanche Farmete Ki Jis Ne Ramadaan-ul-Mubarak Me Husoole Sawab Kee Niyyat Se Aur Halate Iman Ke Saath Qiyam Kiya To Us Ke Pichhle (Tamam) Gunaah Bakhsh Diye Jaate Hain.
Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Wisaal Mubarak Tak Namaze Tarawih Kee Yahi Soorat Barqaraar Rahi Aur Khilafate Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Me Aur Phir Khilafate Umar Faruk RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Shuru Tak Yahi Soorat Barqaraar Rahi.”
متفق عليه و هذا لفظ مسلم.
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 02/707, Raqam-1905,
Muslim Fi As-Sahih, 01/523, Raqam-759,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/171, Raqam-808,
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح،
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/49, Raqam-1371,
Nasa’i Fi As-Sunan, 04/154, Raqam-2192,
Malik Fi Al-Muwatta’, 01/113, Raqam-249,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/281, Raqam-7774,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/338, Raqam-2207,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/353, Raqam-141,
Abd-ur-Razzaque Al-Musannaf, 04/258, Raqam-7719,
Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/493, Raqam-4378,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/120, Raqam-9299,
At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-20, 21, Raqam-14.]