- “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Unhone Farmaya :
Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam (Hujare Mubarak Se) Baahar Tashreef Laaye To (Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Dekha Ki) Ramadaan-ul-Mubarak Me Log Masjid Ke Goshe Me Namaz Padh Rahe They, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Daryaft Farmaya :
Ye Koun Hain?
Arz Kiya Gaya :
Ye Woh Log Hai Jinhein Qur’an Paak Yaad Nahin Aur Hazrat Ubay Bin Ka’b Namaz Padhaate Hain Aur Ye Log Un Kee Iqtida’ Me Namaz Padhte Hain To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :
Inhone Durust Kiya Aur Kitna Hee Achchha Amal Hai Jo Inhone Kiya.”
Is Hadith Ko Imam Aboo Dawud, Ibn Khuzaymah Ibn Hibban Wa Bayhaqui Ne Riwayat Kiya Hai
Aur Bayhaqi Kee Aik Riwayat Me Hai Farmaya :
Inhone Kitna Ahsan Iqdaam Ya Kitna Achchha Amal Kiya Aur Un Ke is Amal Ko Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Naapasand Nahin Farmaya.”
–
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/50, Raqam-1377,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/339, Raqam-2208,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 06/282, Raqam-2541,
Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/495, Raqam-4386, 4388,
Ibn ‘Abd-il-Barr Fi At-Tamhid, 08/111,
Ibn Qudamah Fi Al-Mughni, 01/455,
At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-19, 20, Raqam-13.]