Posted in 02 : Namaze Taraweeh Kee Ta'dade Rak'at Ka Bayan, Bees Rak’at Namaze Tarawih Ka Suboot

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih : 12

Namaze Tarawih Aur Us Kee Ta’dade Rak’at Ka Bayan

 

  1. “Umm-ul-Mu’minin Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Aik Raat Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Masjid Me (Nafl) Namaz Padhi To Logo’n Ne Bhi Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Namaz Padhi.
    Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Agli Raat Namaz Padhi To Ziyaada Log Jam’a Ho Gaye Phir Teesri³ Ya Chauthi⁴ Raat Bhi Aa Khade Huwe Lekin Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Un Kee Taraf Tashreef Na Laaye.
    Jab Subah Huwi To Farmaya :
    Mein Ne Dekha Jo Tum Ne Kiya Aur Mujhe Tumhare Paas (Namaz Padhaane Ke Liye) Aane Se Sirf Andeshe Ne Roka Ki Yah Tum Par Farz Kar Dee Jaayegi Aur Yah Ramadaan-ul-Mubarak Ka Waaqia Hai.”

متفق عليه و هذا لفظ البخاري.

 

Imam Khuzayma Aur Imam Ibn Hibban Ne In Alfaz Ka Izaafa Kiya :
Aur Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Unhein Qiyame Ramadaan (Tarawih) Kee Raghbat Dilaaya Karte They Lekin Hukman Nahin Farmate They Chunanche (Targheeb Ke Liye) Farmate Ki Jo Shakhs Ramadaan-ul-Mubarak Me Iman Aur Sawab Kee Niyyat Ke Saath Qiyaam Karte Hai To Us Ke Pichhle Tmama Gunaah Bakhsh Diye Jaate Hain.
Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Wisaal Mubarak Tak Qiyame Ramadaan Kee Yahi Soorat Barqaraar Rahi Aur Yahi Soorat Khilafate Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aur Khilafate Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Awaa’il Daur Tak Jaari Rahi Yaha’n Tak Ki Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Unhein Hazrat Ubay Bin Ka’b RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Iqtida’ Me Jam’a Kar Diya Aur Woh Unhein Namaze (Tarawaih) Padhaaya Karte They, Lihaaza Yah Woh Ibtidayi Zamaana Hai Jab Log Tarawih Ke Liye (BaaJama’at) Ikat’tha Hote They.”

 

Aur Imam Asqalani Ne “Al-Talkhis” Me Bayan Kiya Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Logo’n Ko Do² Raatein 20 Rak’at Namaz Padhaayi Jab Teesri³ Raat Log Phir Jam’a Ho Gaye To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Un Kee Taraf (Huzara Mubarak Se Baahar)  Tashreef Nahin Laaye, Phir Subah Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :
Mujhe Andesha Huwa Ki (Namaze Tarawih) Tum Par Farz Kar Dee Jaayegi, Lekin Tum Is Kee Taaqat Na Rakkhoge.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/380, Raqam-1077,

Bukhari Fi As-Sahih, 02/708, Raqam-1908,

Muslim Fi As-Sahih, 01/524, Raqam-761,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/49, Raqam-1373,

Nasa’i Fi As-Sunan, 03/202, Raqam-1604,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/410, Raqam-1297,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/113, Raqam-248,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/177, Raqam-25485,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/353, Raqam-141,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/338, Raqam-2207,

Abd-ur-Razzaque Al-Musannaf, 03/43, Raqam-4723,

Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/492, Raqam-4377,

Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Sughara, 01/480, Raqam-486,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Talkhis-ul-Habir, 02/21,

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-17, 18, 19, Raqam-12.]