- “Hazrat ‘Abd-ir-Rahman Bin Awf RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ramadaan-ul-Mubarak Ka Zikr Farmaya To Sab Mahino’n Par Use Fazilat Dee.
Is Ke Baad Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :
Jo Shakhs Iman Aur Husoole Sawab Kee Niyyat Ke Saath Ramadaan Kee Raato’n Me Qiyam Karta Hai To Woh Gunahon Se Yoo’n Paak Saaf Ho Jaata Hai Jayse Woh Us Din Tha, Jab Use Us Kee Maa Ne Janm Diya Tha.”
Is Hadith Ko Imam Nasa’i Ne Riwayat Kiya Hai.
“Aur Aik Riwayat Me Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :
BeShak Allah Ta’ala Ne Ramadaan Ke Roze Farz Kiye Hain Aur Mein Ne Tumhare Liye Is Ke Qiyam (Namaze Tarawih) Ko Sunnat Qaraar Diya Hai Lihaaza Jo Shakhs Iman Aur Husoole Sawab Kee Niyyat Ke Saath Mahe Ramadaan Ke Dino’n Me Roze Rakhta Hai Aur Raato’n Me Qiyam Karta Hai Woh Gunaaho’n Se Yoo’n Paak Saaf Ho Jaata Hai Jayse Woh Us Din Tha Jab Use Us Kee Maa Ne Janm Diya Tha.”
رواه النسائي و ابن ماجة.
–
[Nasa’i Fi As-Sunan, 04/158, Raqam-2208, 2210,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/421, Raqam-1328,
At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-22, 23, Raqam-16.]