- “Hazrat Aboo ‘Isa Tirmidhi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Apni Sunan Me Farmaya :
Aksar Ahl-E-Ilm Ka Mazhab 20 Rak’aat Tarawih Hai Jo Ki Hazrat ‘Ali, Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Aur Huzoor Sarware Kaynat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Deegar Sahaba Se Marwi Hai Yahi (كبارتابعين) Sufyan Sauri, ‘Abd Allah Bin Mubarak Aur Imam Shafi’iy RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ka Qaul Hai Aur Imam Shafi’iy Ne Farmaya :
Mein Ne Apne Shahar Makka Me (Ahl-E-Ilm Ko) Bees-20 Rak’at Tarawih Padhte Paaya.”
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/169, Raqam-806,
At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-26, Raqam-20.]