Posted in 02 : Namaze Taraweeh Kee Ta'dade Rak'at Ka Bayan, Bees Rak’at Namaze Tarawih Ka Suboot

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih : 26

  1. “Hazrat ‘Abd-ir-Rahman Sulami Se Marwi Hai Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Ramadaan-ul-Mubarak Me Qaariyo’n Ko Bulaaya Aur Un Me Se Aik Shakhs Ko Bees-20 Rak’at Tarawih Padhaane Ka Hukm Diya Aur Khud Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Unhein Witr Padhaate They.”

Yah Hadith Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Deegar Sanad Se Bhi Marwi Hai.

رواه البيهقي.

[Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/496, Raqam-4396,

Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jami’ At-Tirmidhi, 03/444,

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-29, Raqam-26.]