(١٤) بَابٌ فِي کَوْنِهِ رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ فَاتِحاً لِخَيْبَرَ وَ صَاحِبَ لِوَاءِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم
Baab-14 :
Aap Ka Faatehe Khaybar Aur Alambardaare Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hona
131: “Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aashobe Chashm Kee Takleef Ke Baa’is Ma’rika-E-Khaybar Ke Liye (Ba-Waqte Rawaangi) Mustafawi Lashkar Me Shaamil Na Ho Sake. Pas Unhone Socha Ki Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Peechhe Reh Gaya Hoo’n, Phir Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Nikle Aur Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Jaa Mile. Jab Woh Shab Aa’i Jis Kee Sub’h Ko Allah Ta’ala Ne Fat’h Ata Farmaa’i To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kal Mein Jhanda Aise Shakhs Ko Doonga Ya Kal Jhanda Woh Shakhs Pakdega Jis Se Allah Aur Us Ka Rasool Mahabbat Karte Hain Ya Farmaya Ki Jo Allah Ta’ala Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Mahabbat Karta Hai, Allah Ta’ala Us Ke Haatho’n Khaybar Kee Fat’h Se Nawaazega. Phir Achaanak Hum Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Dekha, Hala’n Ki Hamein Un Ke Aane Kee Tawaqqo’ Na Thi. Pas Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Jhanda Unhein Ata Farmaya Aur Allah Ta’ala Ne Un Ke Haatho’n Fat’h Nasib Farmaa’i.”
Yeh Hadith Muttafaque Alayh Hai.
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1357, Al-Hadith Raqam-3499,
Bukhari Fi As-Sahih, 04/1542, Al-Hadith Raqam-3972,
Bukhari Fi As-Sahih, 03/1086, Al-Hadith Raqam-2812,
Muslim Fi As-Sahih, 04/1872, Al-Hadith Raqam-2407,
Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/362, Al-Hadith Raqam-12837,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/117, 118, Al-Hadith Raqam-131.]
132: “Hazrat Sahl Bin Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayaan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ghazwah Khaybar Ke Din Farmaya : Kal Mein Jhanda Us Shakhs Ko Doonga Jis Ke Haatho’n Par Allah Ta’ala Fat’h Ata Farmaaega, Woh Allah Aur Us Ke Rasool Se Mahabbat Karta Hai Aur Allah Aur Us Ka Rasool Us Se Mahabbat Karte Hain. Hazrat Sahl RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha : Phir Sahaba Ne Is Izteraab Kee Kaifiyyat Me Raat Guzaari Ki Dekhi’e Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kis Ko Jhanda Ata Farmaate Hain, Jab Sub’h Hu’i To Sahaba-E-Kiram Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Paas Pahunche Un Me Se Har Shakhs Ko Yeh Tawaqqo’ Thi Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Us Ko Jhanda Ata Farmaaenge, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ali Ibn Abi Talib Kaha’n Hain? Sahaba Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah! Un Kee Aankho’n Me Takleef Hai, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Un Ko Bulaao, Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Bulaaya Gaya, Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Un Kee Aankho’n Me Lu’aabe Dahan Daala Aur Un Ke Haque Me Du’aa Kee To Un Kee Aankhein Is Tarah Thik Ho Gayi Goya Kabhi Takleef Hee Na Thi, Pas Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Un Ko Jhanda Ata Farmaya. Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah! Mein Un Se Us Waqt Tak Qitaal Karta Rahunga Jab Tak Woh Hamaari Tarah Na Ho Jaaein, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Narmi Se Rawaana Hona, Jab Tum Un Ke Paas Maidaane Jang Me Pahunch Jaao To Un Ko Islam Kee Da’wat Dena Aur Un Ko Yeh Bataana Ki Un Par Allah Ke Kya Huqooq Waajib Hain, BaKhuda Agar Tumhaari Waj’h Se Aik Shakhs Bhi Hidaayat Pa Jaata Hai To Woh Tumhaare Liye Soorkh Oonto’n Se Behtar Hai.”
Yeh Hadith Muttafaque Alayh Hai.
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1542, Al-Hadith Raqam-3973,
Bukhari Fi As-Sahih, 03/1357, Al-Hadith Raqam-3498,
Muslim Fi As-Sahih, 04/1872, Al-Hadith Raqam-2406,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/333, Al-Hadith Raqam-22872,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/377, Al-Hadith Raqam-6932,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 13/531, Al-Hadith Raqam-7537,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/118, 119, Al-Hadith Raqam-132.]
133: “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ghazwa-E-Khaybar Ke Din Farmaya : Kal Mein Us Shakhs Ko Jhanda Doonga Jo Allah Aur Us Ke Rasool Se Mahabbat Karta Hai, Allah Us Ke Haatho’n Par Fat’h Ata Farmaaega, Hazrat Umar Bin Al-Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya, Us Din Ke Ilaawa Mein Ne Kabhi Imaarat Kee Tamanna Nahin Kee, Us Din Mein Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saamne Is Ummid Se Aaya Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Mujhe Us Ke Liye Bulaaein, Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Bulaaya Aur Un Ko Jhanda Ata Kiya Aur Farmaya Jaao Aur Idhar Udhar Iltefaat Na Karna, Hatta Ki Allah Ta’ala Tumhein Fat’h Ata Farmaa’e. Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kuchh Dur Gaye Phir Thahar Gaye Aur Idhar Udhar Iltefaat Nahin Kiya, Phir Unhone Zor Se Aawaaz Dee Ya RasoolAllah! Mein Logo’n Se Kis Bunyaad Par Jang Karoo’n? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Un Se Us Waqt Tak Jang Karo Jab Tak Ki Woh “لا إله إلا الله محمد رسول الله” Kee Shahaadat Na De’n Aur Woh Gawaahi De De’n To Phir Unhone Tum Se Apni Jaano’n Aur Maalo’n Ko Mahfooz Kar Liya Illa Yeh Ki Un Par Kisi Ka Haque Ho Aur Un Ka Hisaab Allah Ta’ala Ke Zimma Hai.”
Is Hadith Ko Imam Muslim Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Muslim Fi As-Sahih, 04/1871, 1872, Al-Hadith Raqam-2405,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/379, Al-Hadith Raqam-6934,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/179, Al-Hadith Raqam-8603,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/88, Al-Hadith Raqam-78,
Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat Al-Kubra, 02/110,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/120, 121, Al-Hadith Raqam-133.]
134: “Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aik Taweel Hadith Me Bayaan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Phir Mujhe Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Bulaane Bheja Aur Un Ko Aashobe Chashm Tha Pas Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Zarool Bil-Zaroor Jahnda Us Shakhs Ko Doonga Jo Allah Aur Us Ke Rasool Se Mahabbat Karta Hoga Ya Allah Aur Us Ka Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Us Se Mahabbat Karte Honge. Raawi Bayaan Karte Hain Phir Mein Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Paas Aaya Aur Un Ko Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Paas Le Aaya Us Haal Me Ki Woh Aashobe Chashm Me Mubtala They. Pas Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apna Lu’aabe Dahan Un Kee Aankho’n Me Daala To Woh Thik Ho Gaye. Aur Phir Unhone Jhanda Ata Kiya. Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Muqaabala Me Marhab Nikla Aur Kehna Laga :
(Tehqiq Khaybar Jaanta Hai Ki Be Shak Mein Marhab Hoo’n Aur Yeh Ki Mein Har Waqt Hathyaar Band Hota Hoo’n Aur Aik Tajreba Kaar Jangjoo Hoo’n Aur Jab Jangein Hoti Hain To Woh Bhadak Uthta Hai)
Pas Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Farmaya :
(Mein Woh Shakhs Hoo’n Jis Ka Naam Us Kee Maa’n Ne Haydar Rakkha Hai Aur Mein Jangal Ke Us Sher Kee Maanind Hoo’n Jo Aik Haybat Naak Manzar Ka Haamil Ho Yaa Un Ke Darmiyaan Aik Paimaano’n Me Aik Bada Paimaana)
Raawi Bayaan Karte Hain Phir Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Marhab Ke Sar Par Zarb Lagaa’i Aur Us Ko Qatl Kar Diya Phir Fat’h Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Haatho’n Hu’i.”
Is Hadith Ko Imam Muslim Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Muslim Fi As-Sahih, 03/1441, Al-Hadith Raqam-1807,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/382, Al-Hadith Raqam-6935,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/51,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/393, Al-Hadith Raqam-36874,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 07/17, Al-Hadith Raqam-6243,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/121_123, Al-Hadith Raqam-134.]
135: “Hazrat Abd Allah Bin Buraydah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Apne Waalid Buraydah Aslami RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Karte Hain Ki Jab Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ahle Khaybar Ke Qil’a Me Utre To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kal Mein Zaroor Bil-Zaroor Us Aadami Ko Jhanda Ata Karoonga Jo Allah Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Mahabbat Karta Hain Aur Allah Aur Us Ka Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Us Se Mahabbat Karte Hain, Pas Jab Agla Din Aaya To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Bulaaya, Woh Aashobe Chasm Me Mubtala They, Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Un Kee Aankh Me Apna Lu’aabe Dahan Daala Aur Un Ko Jhanda Ata Kiya Aur Log Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Ma’iyyat Me Qitaal Ke Liye Uth Khade Hu’e. Chunanche Aap Ka Saamna Ahle Khaybar Ke Saath Huwa Aur Achaanak Marhab Ne Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saamne Aa Kar Yeh Rajazya Ash’aar Kahe :
(Tehqiq Khaybar Ne Jaan Liya Hai Ki Be Shak Mein Marhab Hoo’n Aur Yeh Ki Mein Har Waqt Hathyaar Band Hota Hoo’n Aur Mein Aik Tajreba Kaar Jangjoo Hoo’n. Mein Kabhi Neze Aur Kabhi Talwaar Se Waar Karta Hoo’n Aur Jab Yeh Sher Aage Badhte Hain To Bhadak Uthte Hain)
Raawi Bayaan Karta Hain Dono’n Ne Talwaaro’n Ka Aapas Me Tabaadila Kiya Pas Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Us Kee Khopdi Par Waar Kiya Yaha’n Tak Ki Talwaar Us Kee Khopdi Ko Cheerti Hu’i Us Ke Daanto’n Tak Aa Pahunchi Aur Tamam Ahle Lashkar Ne Us Zarb Kee Aawaaz Suni. Raawi Bayaan Karte Hain Ki Us Ke Baa’d Un Logo’n Me Se Kisi Aur Ne Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath Muqaabala Ka Iraada Na Kiya. Yaha’n Tak Ki Fat’h Musalmaano’n Ko Muqaddar Thehri.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/358, Al-Hadith Raqam-23081,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/109, Al-Hadith Raqam-8403,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/494, Al-Hadith Raqam-5844,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 06/150,
Tabari Fi Tarikh Al-Umam Wa’l-Mulook Al-Ma’roof Tarikh At-Tabari, 02/136,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/123, 124, Al-Hadith Raqam-135.]
136: “Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Farmaya : Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Jange Khaybar Ke Dauraan Mujhe Bula Bheja Aur Mujhe Aashobe Chashm Tha, Mein Ne Arz Kiya Ya RasoolAllah! Mujhe Aashobe Chashm Hai. Pas Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Meri Aankho’n Me Lu’aabe Dahan Daala Aur Farmaya : Aye Allah! Is Se Garmi-o-Sardi Ko Dur Kar De. Pas Us Din Ke Baa’d Mein Ne Na To Garmi Aur Na Hee Sardi Mahsoos Kee Aur Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Yeh Bhi Farmaya : Mein Zaroor Bil-Zaroor Yeh Jahnda Us Aadami Ko Doonga Jo Allah Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Mahabbat Karta Hoga Aur Allah Aur Us Ka Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Us Se Mahabbat Karte Honge.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/99, Al-Hadith Raqam-778,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/133, Al-Hadith Raqam-1117,
Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/564, Al-Hadith Raqam-950,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/124, 125, Al-Hadith Raqam-136.]
137: “Hazrat Rib’iy Bin Hirash Se Riwaayat Hai Ki Hazrat Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Rahabah Ke Maqaam Par Farmaya : Sulh Hudaybiyyah Ke Mauqa Par Kai Mushrikeen Hamaari Taraf Aa’e Jin Me Suhayl Bin Amar Mushrikeen Ke Kai Deegar Sardaar They Pas Unhone Arz Kiya Ya RasoolAllah (SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Hamaari Aulaad, Bhaaiyo’n Aur Ghulamo’n Me Se Bohat Se Aise Log Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Paas Chale Aa’e Hain Jinhein Deen Kee Koi Samajh Boojh Nahin. Yeh Log Hamaare Amwaal Aur Jaa’edaado’n Se Faraar Hu’e Hain. Lehaaza Aap Yeh Log Hamein Waapas Kar Diji’e Agar Inhein Deen Kee Samajh Boojh Nahin To Hum Samjha Denge. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Quraysh! Tum Log Apni Harkqato’n Se Baaz Aa Jaao Warna Allah Ta’ala Tumhaari Taraf Aise Shakhs Ko Bhejega Jo Deene Islam Kee Khaatir Talwaar Ke Saath Tumhaari Gardanein Uda Dega. Allah Ta’ala Ne In Ke Dilo’n Ko Aazma Liya Hai. Hazrat Aboo Bakr Wa Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Aur Deegar Logo’n Ne Poochha : Ya RasoolAllah! Woh Kaun Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Woh Jootiyo’n Me Pewand Lagaane Waala Hai. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Us Waqt Apni Na’layn Mubarak Marammat Ke Liye Dee Thi’n. Hazrat Rib’iy Bin Hirash Farmate Hain Ki Phir Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Hamaari Taraf Mutawajje Hu’e Aur Kehne Lage Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Mujh Par Jaan Boojh Kar Jhoot Baandhega. Woh Apna Thikaana Jahannam Me Talaash Kar Le.”
Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Ne Riwaayat Kiya Hai Aur Kaha Yeh Hadith Hasan Sahih Hai.
–
[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/634, Al-Hadith Raqam-3715,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/158, Al-Hadith Raqam-3862,
Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/649, Al-Hadith Raqam-1105,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/125, 126, Al-Hadith Raqam-137.]
138: “Hazrat Bara’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Do Lashkar Aik Saath Rawaana Kiye. Aik Ka Amir Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Aur Dusre Ka Hazrat Khalid Bin Walid RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Muqarrar Kiya Aur Farmaya : Jab Jang Hogi To Dono’n Lashkaro’n Ke Amir Ali Honge. Chunanche Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Aik Qil’a Fat’h Kiya Aur Maale Ghanimat Me Se Aik Baandi Le Lee. Is Par Hazrat Khalid RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Mere Haath Aik Khat Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Rawaana Kiya Jis Me Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Shikaayat Thi. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Use Padha To Chehra-E-Anwar Ka Rang Mutaghayyir Ho Gaya. Farmaya : Tum Us Shakhs Se Kya Chaahte Ho Jo Allah Aur Us Ke Rasool Se Mahabbat Karta Hai Aur Allah Aur Us Ka Rasool Us Se Mahabbat Karte Hain. Raawi Kehte Hain : Mein Ne Arz Kiya Ki Mein Allah Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Ghusse Se Allah Kee Panaah Maangta Hoo’n. Mein To Sirf Qaasid Hoo’n. Is Par Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Khaamosh Ho Gaye.”
Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Ne Riwaayat Kiya Hai Aur Kaha Yeh Hadith Hasan Hai.
–
[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/638, Al-Hadith Raqam-3725,
Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 04/207, Al-Hadith Raqam-1704,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/372, Al-Hadith Raqam-32119,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/127, Al-Hadith Raqam-138.]
139: “Hazrat Amr Bin Maymoon RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Hazrat Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Aik Taweel Hadith Me Riwaayat Karte Hain Ki Woh Us Aadami Me Jhagda Kar Rahe They Jo Ashra Mubashhara Me Se Hai Woh Us Aadami Me Jhagda Kar Rahe They Jis Ke Baare Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Ki Mein (Fula’n Ghazwah Ke Liye) Us Aadami Ko Bhejunga Jis Ko Allah Tabarak Wa Ta’ala Kabhi Ruswa Nahin Karega. Woh Allah Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Mahabbat Karta Hai. Pas (Us Jhande) Ke Husool Kee Sa’aadat Ke Liye Har Kisi Ne Khaahish Kee. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ali Kaha’n Hai? To Unhone Kaha Ki Woh Chakki Me Aata Pees Rahaah Hai. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Me Se Koi Aata Kyoo’n Nahin Pees Raha? Raawi Bayaan Karte Hain Ki Phir Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Haazir Hu’e Aur Un Ko Aashobe Chashm Tha Aur Itna Sakht Tha Ki Aap Dekh Nahin Sakte They. Raawi Kehte Hain Ki Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Aankho’n Me Phoonka Phir Jhande Ko Teen Daf’a Hilaaya Aur Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Ata Kar Diya.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/330, Al-Hadith Raqam-3062,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/143, Al-Hadith Raqam-4652,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/113, Al-Hadith Raqam-8409,
Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/603, Al-Hadith Raqam-1351,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/128, Al-Hadith Raqam-139.]
140: “Hazrat Hubayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki Imam Hasan Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Hamein Khutba Irshaad Farmaya Aur Kaha Ki Guzishta Kal Tum Me Se Woh Hashti Juda Ho Gayi Hai Jin Se Na To Guzishta Log Ilm Me Sabqat Le Sake Aur Na Hee Baa’d Me Aane Waale Un Ke Martaba-E-Ilmi Ko Paa Sakenge, Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Un Ko Apna Jhanda De Kar Bhejte They Aur Jibra’il (‘Alayh-is-Salam) Aap Kee Daa’in Taraf Aur Mikar’il (‘Alayh-is-Salam) Aap Kee Baa’in Taraf Hote They Aur Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Fat’h Ata Hone Tak Woh Aap Ke Saath Rehte They.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Aur Tabarani Ne “Al-Mu’jam-ul-Awasat” Me Riwaayat Kiya Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/199, Al-Hadith Raqam-1719,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/336, Al-Hadith Raqam-2155,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/129, Al-Hadith Raqam-140.]
141: “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Jhanda Pakda Aur Us Ko Lehraaya Phir Farmaya : Kaun Is Jahnde Ko Is Ke Haque Ke Saath Lega Pas Aik Aadami Aaya Aur Us Ne Kaha Mein Is Jahnde Ko Leta Hoo’n. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Peechhe Ho Jaao Phir Aik Aur Aadami Aaya Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Ko Bhi Farmaya Peechhe Ho Jaao Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Us Zaat Kee Qasam Jis Ne Muhammad Ke Chehre Ko Izzat-o-Takreem Bakhshi Mein Yeh Jhanda Zaroor Bil-Zaroor Us Aadami Ko Doonga Jo Bhaagega Nahin. Aye Ali! Yeh Jhanda Utha Lo Pas Woh Chale Yaha’n Tak Ki Allah Ta’ala Ne Unhein Khaybar Aur Fidak Kee Fat’h Naseeb Farmaa’i Aur Aap Un Dono’n (Khaybar Wa Fidak) Kee Khajoorein Aur Khushk Gosht Le Kar Aa’e.”
Is Hadith Ko Ahmad Bin Hanbal Aur Aboo Ya’la Ne Apni Musnad Me Bayaan Kiya Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/16, Al-Hadith Raqam-11138,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/499, Al-Hadith Raqam-1346,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 06/151,
Ahmad Bin Hanbal Aydan Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/583, Al-Hadith Raqam-987,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/129, 1430, Al-Hadith Raqam-141.]
142: “Hazrat Aboo Rafi’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Jo Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Aazaad Karda Ghulam They Riwaayat Karte Hain Ki Jab Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Apna Jhanda De Kar Khaybar Kee Taraf Rawaana Kiya To Hum Bhi Un Ke Saahth They. Jab Hum Qil’a-E-Khaybar Ke Paas Pahunche Jo Madinah Munawwarah Ke Qareeb Hai To Khaybar Waale Aap Par Toot Pade. Aap Be Mithaal Bahaaduri Ka Muzaahara Kar Rahe They Ki Achaanak Aap Par Aik Yahoodi Ne Waar Kar Ke Aap Ke Haath Se Dhaal Gira Dee. Is Par Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Qil’a Ka Aik Darwaaza Ukhed Kar Use Apni Dhaal Bana Liya Aur Use Dhaal Kee Haithiyyat Se Apne Haath Me Liye Jang Me Shareek Rahe. Bil-Aakhir Dushmano’n Par Fat’h Haasil Ho Jaane Ke Baa’d Us Dhaal Numa Darwaaza Ko Apne Haath Se Phaink Diya. Is Safar Me Mere Saath Saat Aadami Aur Bhi They. Hum Aath Ke Aath Mil Kar Us Darwaaze Ko Ulatne Kee Koshish Karte Rahe Lekin Woh Darwaaza (Jise Hazrat Ali Ne Tanha Ukheda Tha) Na Ultaaya Ja Saka.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal Aur Haythami Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/08, Al-Hadith Raqam-23909,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 06/152,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/130, 131, Al-Hadith Raqam-142.]
143: “Hazrat Jabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayaan Karte Hain Ki Ghazwah Khaybar Ke Roz Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Qal’a-E-Khaybar Ka Darwaaza Utha Liya Yaha’n Tak Ki Musalaman Qil’a Par Chadh Gaye Aur Use Fat’h Kar Liya Aur Yeh Aazmooda Baat Hai Ki Us Darwaaze Ko Chaalees Aadami Mil Kar Uthaate They.”
Is Hadith Ko Ibn Abi Shaybah Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/374, Al-Hadith Raqam-32139,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 07/478,
Ajlooni Fi Kashf-ul-Khafa’ Wa Muzil Al-Ilbas Ammah Istuhira Min Al-Ahadith ‘Ala Alsinat-in-Nas, 01/438, Al-Hadith Raqam-1168,
Waqaal Al-Ajlooni : Rawahu Al-Hakim Wa-Al-Bayhaqi ‘An Jabir,
Tabari Fi Tarikh Al-Umam Wa’l-Mulook Al-Ma’roof Tarikh At-Tabari, 02/137,
Ibn Hisham Fi As-Sirat-un-Nabawiyyah, 04/306,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/131, Al-Hadith Raqam-143.]
144: “Hazrat Qatadah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Bayaan Hai Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ghazwah Badr Samet Har Ma’rika Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Alam Bardaar They.”
Ise Ibn Abi Sa’d Ne At-Tabqat-il-Kubra” Me Riwaayat Kiya Hai.
–
[Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat Al-Kubra, 03/23,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/131, 132, Al-Hadith Raqam-144.]