Posted in Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu

Masjide Nabawi SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Me Baabe Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Siwa Baaqi Sab Darwaazo’n Ko Band Kar Diya Jaana

(١٥) بَابٌ فِي أَمْرِالنَّبِيِّ بِسَدِّ الْأَبْوَابِ إِلاَّ بَابَ عَلِيٍّ رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ

Baab-15 :

Masjide Nabawi SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Me Baabe Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Siwa Baaqi Sab Darwaazo’n Ko Band Kar Diya Jaana

 

145:           “Hazrat Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Darwaaze Ke Siwa Masjid Me Khulne Waale Tamaam Darwaaze Band Karne Ka Hukm Diya.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/641, Al-Hadith Raqam-3732,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/115,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/133, Al-Hadith Raqam-145.]

 

 

146:           “Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Kai Sahabah-E-Kiram Ke Gharo’n Ke Darwaaze Masjide Nabawi Ke Sahn Me Khulte They To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Aik Din Farmaya : Ali Ka Darwaazah Chhod Kar Baaqi Tamam Darwaazo’n Ko Band Kar Do. Raawi Ne Kaha Ki Is Baare Me Logo’n Ne Chemigo’iya’n Kee’n To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Khade Hu’e Pas Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Allah Ta’ala Kee Hamd-o-Thana Bayaan Kee Phir Farmaya : Mein Ne Ali Ke Darwaaze Ko Chhod Kar Baaqi Sab Darwaazo’n Ko Band Karne Ka Hukm Diya Hai. Tum Me Se Kuchh Logo’n Ne Is Ke Muta’alliq Baatein Kee Hain. BaKhuda Mein Ne Apni Taraf Se Kisi Cheez Ko Band Kiya Na Khola Mein Ne To Bas Us Amr Kee Pairawi Kee Jis Ka Mujhe Allah Ta’ala Kee Taraf Se Hukm Mila.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal, Nasa’i Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Hakim Ne Kaha Yeh Hadith Sahih-ul-Isnad Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/369, Al-Hadith Raqam-9502,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/118, Al-Hadith Raqam-8323,

Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/135, Al-Hadith Raqam-4631,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/114,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/133, 134, Al-Hadith Raqam-146.]

 

 

147:           “Hazrat Amr Bin Maymoon RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Hazrat Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Aik Taweel Hadith Me Riwayat Karte Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Masjid Ke Tamam Darwaaze Band Kar Diye Siwaa’e Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Darwaaze Ke Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ali Haalate Janaabat Me Bhi Masjid Me Daakhil Ho Sakta Hai. Kyoo’ Ki Yehi Us Ka Raasta Hai Aur Us Ke Ilaawah Us Ke Ghar Ka Koi Aur Raasta Nahin Hai.”

Is Hadith Ko Imam Hakim Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/330, Al-Hadith Raqam-3062,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/134, 135, Al-Hadith Raqam-147.]

 

 

148:           “Hazrat Abd Allah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Bayan Karte Hain Ki Hum Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Zamaane Me Kaha Karte They Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Tamam Logo’n Se Afzal Hain Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Baa’d Hazrat Aboo Bakr Siddiq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aur Phir Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aur Yeh Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Teen Khaslatein Ata Kee Gayi’n Hain. Un Me Se Agar Aik Bhi Mujhe Mil Jaa’e To Yeh Mujhe Surkh Qimti Oonto’n Ke Milne Se Ziyaada Mahboob Hai. (Aur Woh Teen Khaslatein Yeh Hain) Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Un Ka Nikaah Apni Saahabzaadi Se Kiya Jis Se Un Kee Aulaad Huwi Aur Doosri Yeh Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Masjide Nabawi Kee Taraf Khulne Waale Tamam Darwaaze Band Karwa Diye Magar Un Ka Darwaazah Masjid Me Raha Aur Teesri Yeh Ki Un Ko Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Khaybar Ke Din Jhanda Ata Farmaya.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/26, Al-Hadith Raqam-4797,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/120,

Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/567, Al-Hadith Raqam-955,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/135, Al-Hadith Raqam-148.]

 

 

149:           “Hazrat Jabir Bin Samurah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Darwaaze Ke Ilaawah Masjide Nabawi Kee Taraf Khulne Waale Tamaam Darwaazo’n Ko Band Karne Ka Hukm Farmaya. Hazrat Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Arz Kiya : Kya Sirf Mere Aane Jaane Ke Liye Raasta Rakhne Kee Ijaazat Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mujhe Is Ka Hukm Nahin Huwa So Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Darwaaze Ke Ilaawah Sab Darwaaze Band Karwa Diye Aur Basa Awqaat Woh Haalate Janaabat Me Bhi Masjid Se Guzar Jaate.”

Ise Tabarani Ne “Al-Mu’jam-ul-Kabir” Me Riwayat Kiya Hai

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/249, Al-Hadith Raqam-2031,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/115,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/136, Al-Hadith Raqam-149.]