Posted in Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu

Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Ilmi Maqaam Wa Martaba

(١٦) بَابٌ فِي مَکَانَتِهِ رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ الْعِلْمِيَّةِ

Baab-16 :

Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Ilmi Maqaam Wa Martaba

 

150:           “Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Hikmat Ka Ghar Hoo’n Aur Ali Us Ka Darwazah Hai.”

Is Hadith Ko Imam Tirmdhi Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/637, Al-Hadith Raqam-3723,

Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/634, Al-Hadith Raqam-1081,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 01/64,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/137, Al-Hadith Raqam-150.]

 

 

151:           “Hazrat Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Ilm Ka Shahr Hoo’n Aur Ali Us Ka Darwaazah Hai. Lehaaza Jo Is Shahr Me Daakhil Hona Chaahta  Hai Use Chaahiye Ki Woh Is Darwaaze Se Aa’e.”

Is Hadith Ko Imam Hakimm Ne Riwayat Kiya Hai Aur Kaha Yeh Hadith Sahih-ul-Isnad Hai.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/137, Al-Hadith Raqam-4637,

Daylami Fi Al-Firdaws Bi-Mathoor Al-Khitab, 01/44, Al-Hadith Raqam-106,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/137, Al-Hadith Raqam-151.]

 

 

152:           “Hazrat Jabir Bin Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Huwe Suna : Mein Ilm Ka Shahr Hoo’n Aur Ali Us Ka Darwazah Hai. Lehaaza Jo Koi Ilm Haasil Karne Ka Iraadah Rakhta Hai Use Chaahiye Ki Woh Is Darwaaze Se Aa’e.”

Is Hadith Ko Hakim Aur Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/138, Al-Hadith Raqam-4639,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/65, Al-Hadith Raqam-11061,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/114,

Manawi Fi Fayd-ul-Qadir, 03/47,

Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 04/348,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/138, Al-Hadith Raqam-152.]

 

 

153:           “Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Farmaya : Mein Qur’an Kee Har Aayat Ke Baare Me Jaanta Hoo’n Ki Woh Kis Ke Baare, Kis Jagah Aur Kis Par Naazil Huwi Be Shak Mere Rabb Ne Mujhe Bohat Ziyaada Samajh Waala Dil Aur Faseeh Zubaan Ata Farmaa’i Hai.”

Ise Aboo Nu’aym Ne “Hilyat-ul-Awliya’” Me Aur Ibn Sa’d Ne “At-Tabaqat-il-Kubra” Me Riwayat Kiya Hai.

[Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 01/68,

Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat Al-Kubra, 02/338,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/137, Al-Hadith Raqam-153.]

 

154:           “Hazrat Abd Allah Bin Muhammad Bin Umar Bin Ali Bin Abi Talib Apne Waalid Se Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Poochha Gaya Ki Kya Waj’h Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sahabah Me Se Aap Kathsrat Se Ahaadith Riwayat Karne Waale Hain? To Aap Ne Jawaab Me Irshaad Farmaya : Ki Is Kee Waj’h Yeh Hai Jab Mein Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Koi Sawaal Karta Tha To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Mujhe Is Ka Jawaab Irshaad Farmaate They Aur Jab Mein Khaamosh Hota To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Mujh Se Baat Shuru’ Farma Dete They.”

Ise Ibn Sa’d Ne “At-Tabaqat-il-Kubra” Me Bayan Kiya Hai.

[Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat Al-Kubra, 02/338,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/138, 139, Al-Hadith Raqam-154.]

 

 

155:           “Hazrat Aboo Tufayl RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Mujh Se Kitabillah Ke Baare Sawaal Karo Pas Be Shak Koi Bhi Aayat Aisi Nahin Hai Jis Ke Baare Me Mein Yeh Na Jaanta Hoo’n Ki Who Din Ko Naazil Huwi Ya Raat Ko, Pahaad Me Naazil Huwi Ya Maidaan Me.”

Ise Ibn Sa’d Ne “At-Tabaqat-il-Kubra” Me Riwayat Kiya Hai.

[Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat Al-Kubra, 02/338,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/139, Al-Hadith Raqam-155.]

Advertisement