Posted in Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu

Sahaba-E-Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Me Sab Se Behtar Faisla Karne Waale

(١٧) بَابٌ فِيْ کَوْنِهِ رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ أَقْضَي الصَّحَابَةِ

Baab-17 :

Sahaba-E-Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Me Sab Se Behtar Faisla Karne Waale

 

156:           “Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Mujhe Yaman Kee Taraf Qaazi Bana Kar Bheja. Mein Arz Guzaar Huwa : Ya RasoolAllah! Aap Mujhe Bhej Rahe Hain Jab Ki Mein Nau Umr Hoo’n Aur Faisla Karne Ka Bhi Mujhe Ilm Nahin. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Allah Ta’ala Anqarib Tumhaare Dil Ko Hidayat Ata’ Kar Dega Aur Tumhaari  Zubaan Us Par Qaa’im Kar Dega. Jab Bhi Fariqayn Tumhaare Saamne Baith Jaaein To Jaldi Se Faisla Na Karna Jab Tak Doosre Kee Baat Na Sun Lo Jaise Tum Ne Pehle Kee Suni Thi. Yeh Tariqae Kaar Tumhaare Liye Faisale Ko Waazeh Kar Dega. Aap Bayaan Karte Hain Ki Is Du’aa Ke Baa’d Mein Kabhi Bhi Faisla Karne Me Shak Me Nahin Pada.”

Is Hadith Ko Imam Aboo Dawud Ne Riwayat Kiya Hai.

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/301, Al-Hadith Raqam-3582,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/83, Al-Hadith Raqam-636,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/116, Al-Hadith Raqam-8417,

Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 10/86,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/140, Al-Hadith Raqam-156.]

 

 

157:           “Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Mujhe Yaman Kee Taraf Bheja To Mein Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Mujhe Bhej Rahe Hain Ki Mein Un Ke Darmiyan Faisla Karoo’n Haala’n Ki Mein Nau Jawaan Hoo’n Aur Yeh Bhi Nahin Jaanta Ki Faisla Kya Hai? Pas Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apna Daste Aqdas Mere Seene Pe Maara Phir Farmaya : Aye Allah Is Ke Dil Ko Hidaayat Ata Farma Aur Is Kee Zubaan Ko Haque Par Qaa’im Rakkh. Farmaya Is Ke Baa’d Mein Ne Do Aadmiyo’n Ke Darmiyaan Faisla Karne Me Kabhi Bhi Shak Nahin Kiya.”

Is Hadith Ko Imam Ibn Majah Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/774, Al-Hadith Raqam-2310,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/116, Al-Hadith Raqam-8419,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/365, Al-Hadith Raqam-32068,

Bazzar Fi Al-Musnad, 03/126, Al-Hadith Raqam-912,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/61, Al-Hadith Raqam-94,

Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/580, Al-Hadith Raqam-984,

Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat Al-Kubra, 02/337,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/141, Al-Hadith Raqam-157.]

 

 

158:           “Hazrat Aboo Is’haaq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Hazrat Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmaya Karte They Ahle Madinah Me Se Sab Se Achchha Faisla Farmane Waala Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Hai.”

Is Hadith Ko Hakim Ne Riwayat Kiya Hai.

[Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/145, Al-Hadith Raqam-4656,

Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari, 08/167,

Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat Al-Kubra, 02/338,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/141, 142, Al-Hadith Raqam-158.]

 

 

159:           “Hazrat Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Bayan Karte Hain Ki Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Ali Hum Sab Se Behtar Aur Saa’ib Faisla Farmaane Waale Hain Aur Abi Bin Ka’b Hum Sab Se Badh Kar Qaari Hain.”

Is Hadith Ko Hakim Ne Riwayat Kiya Hai.

[Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/345, Al-Hadith Raqam-5328,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/113, Al-Hadith Raqam-21123,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/142, Al-Hadith Raqam-159.]

 

 

160:           “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Hazrat Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Ki Hum Me Sab Se Behtar Faisla Farmaane Waale Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Hain.”

Ise Ibn Sa’d Ne “At-Tabaqat-il-Kubra” Me Riwayat Kiya Hai

[Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat Al-Kubra, 02/339,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/142, Al-Hadith Raqam-160.]

 

 

161:           “Hazrat Sa’iyd Bin Musayyab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Us Naa Qaabil Hal Aur Mushkil Mas’ala Se Jis Me Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Nahin Hote They Allah Kee Panaah Maanga Karte They. “

Ise Ibn Sa’d Ne “At-Tabaqat-il-Kubra” Me Riwayat Kiya Hai.

[Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat Al-Kubra,  02/339,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/142, Al-Hadith Raqam-161.]