(١٨) بَابٌ فِي قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم : أَلنَّظْرُ إِلَي وَجْهِ عَلِيٍّ عِبَادَةٌ
Baab-18 :
Farmane Nabawi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam : Ali Ke Chehre Ko Dekhna Ibaadat Hai
162: “Hazrat Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ali Ke Chehre Ko Takna Ibaadat Hai.”
Is Hadith Ko Imam Hakim Ne Aur Tabarani Ne Al-Mu’jam-ul-Kabir Me Riwayat Kiya Hai.
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/152, Al-Hadith Raqam-4682,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/76, Al-Hadith Raqam-10006,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/119, (قال ألهيثمي، وثقه ابن حبان و قال مستقيم الحديث),
Daylami Fi Al-Firdaws Bi-Mathoor Al-Khitab, 04/294, Al-Hadith Raqam-6865 (عن معاذ بن جبل),
Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 05/58,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/143, Al-Hadith Raqam-162.]
163: “Hazrat Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ali Kee Taraf Dekhna Bhi Ibaadat Hai.”
Is Hadith Ko Imam Hakim Ne Riwayat Kiya Hai Aur Kaha Yeh Hadith Sahih-ul-Isnad Hai.
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/52, Al-Hadith Raqam-4681,
Daylami Fi Al-Firdaws Bi-Mathoor Al-Khitab, 04/294, Al-Hadith Raqam-6866,
Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 02/183,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/143, 144, Al-Hadith Raqam-163.]
164: “Hazrat Taliq Bin Muhamaad RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Me Hazrat Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Dekha Ki Woh Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Tiktiki Baandh Kar Dekh Rahe They. Kisi Ne Un Se Poochha Ki Aap Aisa Kyun Kar Rahe Hain? Unhone Jawaab Diya Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Huwe Suna Hai Ki Ali Kee Taraf Dekhna Bhi Ibaadat Hai.”
Is Hadith Ko Tabarani Ne “Al-Mu’jam-ul-Kabir” Riwayat Kiya Hai.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 18/109, Al-Hadith Raqam-207,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/109,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/146, Al-Hadith Raqam-164.]
165: “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Hazrat Ali Ka Zikr Bhi Ibaadat Hai.”
Is Hadith Ko Imam Daylamin Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Daylami Fi Al-Firdaws Bi-Mathoor Al-Khitab, 02/244, Al-Hadith Raqam-1351,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/144, Al-Hadith Raqam-165.]
166: “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Bayan Karti Hain Ki Mein Ne Apne Waalid Hazrat Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Dekha Ki Woh Kathrat Se Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Chehre Ko Dekha Karte. Pas Mein Ne Aap Se Poochha : Aye Abba Jaan! Kya Waj’h Hai Ki Aap Kathrat Se Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Chehre Kee Taraf Takte Rehte Hain? Hazrat Aboo Bakr Siddique RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Jawab Diya : Aye Meri Beti! Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farmate Huwe Suna Hai Ki Ali Ke Chehre Ko Takna Bhi Ibaadat Hai.”
Is Hadith Ko Ibn Asakir Ne “Tarikh Dimashq Al-Kabir” Me Bayan Kiya Hai.
–
[Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 42/355,
Zamakhshari Fi Al-Mukhtasaru Min Kitab-il-Muwafaqati Bayna Ahl-ul-Bayti Wa’s-Sahabah, : 14,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/144, 145, Al-Hadith Raqam-166.]
167: “Hazrat Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ali Ke Chehre Kee Taraf Dekhna Ibaadat Hai.”
Is Hadith Ko Ibn Asakir Ne “Tarikh Dimashq Al-Kabir” Me Bayan Kiya Hai.
–
[Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 42/351,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/145, Al-Hadith Raqam-167.]
168: “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Hazrat Ma’adh Bin Jabal Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ali Ke Chehre Ko Takna Ibaadat Hai.”
Is Hadith Ko Ibn Asakir Ne “Tarikh Dimashq Al-Kabir” Me Bayan Kiya Hai.
–
[Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 42/353,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/145, 146, Al-Hadith Raqam-168.]
169: “Hazrat Jabir Bin Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ali Ke Chehre Ko Takna Ibadat Hai.”
Is Hadith Ko Ibn Asakir Ne “Tarikh Dimashq Al-Kabir” Me Bayan Kiya Hai.
–
[Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 42/353,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/146, Al-Hadith Raqam-169.]
170: “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ali Ke Chehre Ko Takna Ibaadat Hai.”
Is Hadith Ko Ibn Asakir Ne “Tarikh Dimaqsh Al-Kabir” Me Bayan Kiya Hai.
–
[Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 42/353,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/146, Al-Hadith Raqam-170.]