Posted in Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu

Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Jaame’ Sifaat Ka Bayaan

(٢١) بَابٌ فِي جَامِعِ صِفَاتِهِ رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ

Baab-21 :

Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Jaame’ Sifaat Ka Bayaan

 

179:           “Hazrat Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Sayyidah Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Farmaya : Kya Too Raazi Nahin Ki Mein Ne Tera Nikaah Ummat Me Sab Se Pehle Islam Laane Waale, Sab Se Ziyaada Ilm Waale Aur Sab Se Ziyaada Burd Baar Shakhs Se Kiya Hai.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/26,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/229,

Hisam-ud-deen Al-Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, Al-Hadith Raqam-32924, 32925,

Suyooti Fi Jam’ Al-Jawami’, Al-Jami’Al-Kabir Fi Al-Hadith Wa-Al-Jami’ Al-Saghir Wa-Zawa’iduh, Al-Hadith Raqam-4273, 4274,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/155, Al-Hadith Raqam-179.]

 

 

180:           “Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Bayan Fatmati Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Huwe Suna Ki Ali Aur Qur’an Ka Choli Daaman Ka Saath Hai. Yeh Dono’n Kabhi Bhi Juda Nahin Honge Yaha’n Tak Ki Mere Paas Hauze Kawthar Par (Ikatthey) Aaeinge.”

Is Hadith Ko Tabarani Ne “Al-Mu’jam-ul-Awsat” Me Riwayat Kiya Hai.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/135, Al-Hadith Raqam-4880,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/255,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/134,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/155, 156, Al-Hadith Raqam-180.]

 

 

181:           “Hazrat Jaabir Bin Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai, Woh Bayan Karte Hain : Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Huwe Suna Log Juda Juda Nasab Se Ta’alluq Rakhte Hain Jab Ki Mein Aur Ali Aik Hee Nasab Se Hain.”

Is Hadith Ko Tabarani Ne “Al-Mu’jam-ul-Awsat” Me Riwayat Kiya Hai.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/263, Al-Hadith Raqam-1651,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/100,

Daylami Fi Al-Firdaws Bi-Mathoor Al-Khitab, 04/303, Al-Hadith Raqam-6888,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/156, Al-Hadith Raqam-181.]

 

 

182:           “Hazrat Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Sabaqat Le Jaane Waale Teen Hain. Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Kee Taraf (Un Par Imaan Laa Kar) Sabaqat Le Jaane Waale Hazrat Yoosha’a Bin Noon Hain, Hazrat Isaa ‘Alayh-is-Salam Kee Taraf Sabaqat Le Jaane Waale Saahib Yaasin Hain Aur Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Taraf Sabaqat Le Jaane Waale Ali Bin Abi Talib Hain.”

Is Hadith Ko Tabarani Ne “Al-Mu’jam-ul-Kabir” Me Riwayat Kiya Hai.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/93, Al-Hadith Raqam-11152,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/102,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/156, 157, Al-Hadith Raqam-182.]

 

 

183:           “Hazrat Abd Allah Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Hai : Woh Farmate Hain, Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Farmaya : Yeh Ali Bin Abi Talib Hai Is Ka Gosht Mera Gosht Hai Aur Is Ka Khoon Mera Khoon Hai Aur Yeh Mere Liye Aise Hai Jaise Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Ke Liye Hazrat Haroon ‘Alayh-is-Salam Magar Yeh Ki Mere Baa’d Koi Nabi Nahin.”

Is Hadith Ko Tabarani Ne “Al-Mu’jam-ul-Kabir” Me Bayan Kiya Hai.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/18, Al-Hadith Raqam-12341,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/111,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/157, Al-Hadith Raqam-183.]

 

 

184:           “Hazrat Abd Allah Bin Akim RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Ki Allah Ta’ala Ne Shabe Me’raaj Wah’iy Ke Zari’e Mujhe Ali Kee Teen Sifaat Kee Khabar Dee Yeh Ki Woh Tamam Mominin Ke Sardaar Hain, Muttaqin Ke Imam Hain Aur (Qiyamat Ke Roz) Noorani Chehre Waalo’n Ke Qaa’id Honge.”

Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne “Al-Mu’jam-us-Saghir” Me Bayan Kiya Hai.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/88,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/157, 158, Al-Hadith Raqam-184.]

 

 

185:           “Hazrat Abd Allah Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Woh Farmate Hain Ki Yeh Aayat ﴿إِنَّ الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ سَيَجْعَلُ لَهُمُالرَّحْمَنُ وُدًّا﴾  Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Shaan Me Utri Hai. Aur Unhone Farmaya Is Se Muraad Mominin Ke Dilo’n Me (Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu) Kee Mahabbat Hai.”

Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne “Al-Mu’jam-us-Awsat” Me Riwayat Kiya Hai.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/348, Al-Hadith Raqam-5514,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/125,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/158, Al-Hadith Raqam-185.]

 

 

186:           “Hazrat Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Bayan Karte Hain Ki Qur’an Paak Kee Jitni Aayaat Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Haque Me Naazil Huwi Hain Kisi Aur Ke Haque Me Naazil Nahin Huwi’n,”

Is Hadith Ko Imam Ibn Asakir Ne Apni Tarikh Me Riwayat Kiya Hai.

[Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir , 42/363,

Suyooti Fi Tarikh Al-Khulafa’ Mina Al-Khilafat Al-Rashidah Ila Sanati 903 Hijri,/132,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/158, Al-Hadith Raqam-186.]

 

 

187:           “Hazrat Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Haque Me Qur’an Karim Kee Teen Sau (300) Aayaat Naazil Huwi’n.

Is Hadith Ko Imam Ibn Asakir Ne Apni Tarikh Me Riwayat Kiya Hai.

[Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir , 42/364,

Suyooti Fi Tarikh Al-Khulafa’ Mina Al-Khilafat Al-Rashidah Ila Sanati 903 Hijri,/132,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/159, Al-Hadith Raqam-187.]

۞ ۞ ۞