(٢٠) بَابٌ فِي إِعْلَامِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم إِيَّاهُ بِإِسْتِشْهَادِهِ
Baab-20 :
Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Shahaadat Kee Khabar Dena
174: “Hazrat Sa’iyd Bin Zayd RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Hira’(Pahaad) Poor Sukoon Raho Pas Be Shak Tujh Par Nabi Hai Ya Siddiq Hai Ya Saheed Hai (Aur Koi Nahin). Raawi Bayaan Karte Hain Ki Is Pahaad Par Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Hazrat Aboo Bakr Siddiq, Hazrat Umar, Hazrat Uthman, Hazrat Ali, Hazrat Talha Aur Hazrat Zubayr Aur Hazrat Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum They.”
Is Hadith Ko Imam Muslim Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Muslim Fi As-Sahih, 04/1880, Al-Hadith Raqam-2417,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/441, Al-Hadith Raqam-6983,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/187, Al-Hadith Raqam-1630,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/273, Al-Hadith Raqam-890,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/259, Al-Hadith Raqam-970,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/149, Al-Hadith Raqam-174.]
175: “Hazrat Ammar Bin Yasir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Ghazwah “Dhaat-il-‘Ushayrah” Me Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aur Mein Aik Doosre Ke Saath They Pas Jab Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Us Jagah Aa’e Aur Waha’n Qiyaam Farmaya Hum Ne Banu Mudlij Ke Logo’n Ko Dekha Ki Woh Aik Khajoor Tale Apne Aik Chahsme Me Kaam Kar Rahe Hain. Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Mujhe Farmaya : Aye Aba Yaqzaan Tumhaari Kya Raay Hai Agar Hum Un Logo’n Ke Paas Jaaein Aur Dekhein Ki Woh Kya Kar Rahe Hain? Pas Hum Un Ke Paas Aa’e Aur Un Ke Kaam Ko Kuchh Der Tak Dekha Phir Hamein Nind Aane Lagi To Mein Aur Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Waha’n Se Chale Aur Khajooro’n Ke Darmiyan Mitti Par Hee Let Kar So Gaye. Pas Allah Kee Qasam Hamein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Ilaawah Kisi Ne Na Jagaaya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hamein Apne Mubarak Qadmo’n Ke Mas Se Jagaaya. Jab Ki Hum Khoob Khaak Aalood Ho Chuke They Pas Is Din Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Farmaya : Aye Aboo Turaab! Aur Yeh Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Jism Par Mitti Ko Dekha Kar Farmaya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Mein Tumhein Do Badbakht Tareen Aadmiyo’n Ke Baare Me Na Bataau’n? Hum Ne Kaha Haa’n Ya RasoolAllah! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Pehla Shakhs Qaume Thamood Ka Uhaymir Tha Jis Ne Saalih ‘Alayh-is-Salam Kee Oontni Kee Taangein Kaati Thi’n Aur Doosra Shakhs Woh Hai Jo Aye Ali Tumhaare Sar Par Waar Karega. Yaha’n Tak Ki (Khoon Se Yeh) Daadhi Tar Ho Jaa’egi.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Musnad Me Aur Imam Nasa’i Ne “As-Sunan-ul-Kubra” Me Riwayat Kiya Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/263, (Al-Hadith Raqam-18321),
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/153, Al-Hadith Raqam-8538,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/151, Al-Hadith Raqam-4679,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/150, 151, Al-Hadith Raqam-175.]
176: “Hazrat Abd Allah Bin Sab’a RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Hazat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Farmate Huwe Suna Ki Yeh Daadhi Sar Ke Khoon Se Surkh Ho Jaa’egi Aur Is Ka Intezaar Aik Badbakht Kar Raha Hai Logo’n Ne Kaha Aye Amir Al-Mu’minin Hamein Us Ke Baare Me Khabar Dijiye Hum Us Kee Nasl Ko Tabaah Kar Denge Aap Ne Farmaya : Allah Kee Qasam Tum Siwaa’e Mere Qaatil Ke Kisi Ko Qatl Nahin Karoge. Unhone Kaha Hum Par Kisi Ko Khalifa Muqarrar Kar De’n Aap Ne Farmaya Nahin Lekin Mein Us Cheez Kee Taraf Chhodta Hoo’n Jis Kee Taraf Tumhein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Chhoda Tha(Ya’ni Baahami Mushaawarat) Unhone Kaha Aap Apne Rabb Se Kya Kahenge Jab Aap Us Ke Paas Jaaenge. Aap Ne Farmaya : Mein Kahunga “Aye Allah Too Ne Jitna Arsa Chaaha Mujhe Un Me Baaqi Rakkha Phir Too Ne Mujhe Apne Paaas Bula Liya Lekin Too Un Me Baaqi Hai Agar Too Chaahe To Un Kee Islaah Farma De Aur Agar Too Chaahe To Un Me Bigaad Paida Kar De.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/130, Al-Hadith Raqam-1078,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/443, Al-Hadith Raqam-590,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/444, Al-Hadith Raqam-37098,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/137,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/151,152, Al-Hadith Raqam-176.]
177: “Hazrat Abd Allah Bin Sab’a Bayan Karte Hain Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Aik Din Hamein Khutba Diya Aur Farmaya : Us Zaat Kee Qasam Jis Ne Daane Ko Phaada Aur Makhlooqaat Ko Zindagi Ata Farmaa’i Yeh Daadhi Zaroor Bil-Zaroor Khoon Se Khizaab Kee Jaaegi (Ya’ni Meri Daadhi Mere Sar Ke Khoon Se Surkh Ho Jaa’egi) Raawi Bayaan Karte Hain Ki Logo’n Ne Kaha Pas Aap Hamein Bata De’n Woh Kaun Hai? Hum Us Kee Nasl Meeta Denge. Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Farmaya : Mein Tumhein Allah Kee Qasam Deta Hoo’n Ki Mere Qaatil Ke Ilaawah Kisi Ko Qatal Na Kiya Jaa’e. Logo’n Ne Kaha Agar Aap Yeh Jaante Hain To Kisi Ko Khalifah Muqarrar Kar De’n, Aap Ne Farmaya : Nahin Lekin Mein Tumhein Woh Chiz Saunpta Hoo’n Jo Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Tumhein Saunpi (Ya’ni Baa-Hum Mushaawarat Se Khalifah Muqarrar Karo).”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/156, Al-Hadith Raqam-1340,
Maqdisi Fi Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 02/213, Al-Hadith Raqam-595,
Bazzar Fi Al-Musnad, 03/92, Al-Hadith Raqam-871,
Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/243, Al-Hadith Raqam-277.]
178: “Hazrat Aboo Tufayl Bayan Karte Hain Ki Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Logo’n Ko Bay’at Kee Da’wat Dee To Abd-ur-Rahman Bin Muljam Muraadi Bhi Aaya Pas Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Do Daf’a Us Ko Waapas Bhej Diya, Jab Woh Teesri Martaba Aaya To Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Farmaya : Is Badbakht Ko Kaun Rokega? Phir Farmaya : Zaroor Bil-Zaroor Is (Daadhi Ko) Khizaab Kiya Jaa’ega Ya Khoon Se Ranga Jaa’ega Ya’ni Sar Ke Khoon Se Meri Daadhi Surkh Hogi Phir Aap Ne Yeh She’r Padhe :
Too Maut Ke Liye Kamar Basta Ho
Be Shak Maut Tujhe Aane Waali Hai
Aur Qatl Se Khaufzadah Na Ho
Jab Woh Teri Daadhi Me Utar Aa’e
“Khuda Kee Qasam Yeh Huzoor Nabiyye Ummi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Mere Saath Ahd Hai.”
Ise Ibn Sa’d Ne “At-Tabaqat-il-Kubra” Me Riwayat Kiya Hai.
–
[Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat Al-Kubra, 03/33, 34,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/153, 154, Al-Hadith Raqam-178.]