Jo Tanzeemaat Ilaaqaa’i Sat’h Par Halqa-E-Durood Ka Silsila Shuroo’ Karna Chaahe’n Woh Darje Dhayl Umoor Ka Khayaal Rakkhe’n :
1) Halqa-E-Durood Ke Li’e Zaroori Hoga Ki Kisi Aik Mustaqil Jagah Aur Waqt Ko Mukhtas Kiya Jaa’e. Chalte Phirte Aur Uthte Baithte Padhe Jaane Waale Durood Ko Is Me Shaamil Nahin Kiya Jaa’ega.
2) Durood-o-Salaam Padhne Se Qabl Ghusl Kare’n, Naya Saaf Suthra Libaas Pehne’n, Khushboo Lagaa’e’n Aur Do Rak’at Namaze Nafl Ke Ba’d Durood Sharif Padhna Shuroo’ Kare’n.
3) Halqa-E-Durood Me Shirkat Kar Ne Waale Ahbaab Ke Li’e Jagah, Din Aur Waqt Muta’ayyan Kar Diya Jaa’e Taa Ki Poori Tawajjo Aur Dil-Jam’iy Ke Saath Durood-o-Salaam Padha Jaa’e.
4) Durood-o-Salaam Kee Ta’daad Ka Shumaar Kar Ne Aur Markaz Ko Irsaal Kar Ne Ke Li’e Kisi Aik Fard Kee Zimma Daari Lagaa’i Jaa’e.
–
[Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/40_41.]