Apne Ilaaqa Kee Behno’n Ko Gosha-o-Durood Kee Ahammiyyat-o-Fazeelat Aur Tamaam Aadaab-o-Sharaa’it Bata Kar Da’wat De’n. Jitni Behne’n Shaamil Hona Chaahe’n Un Ke Naam Likh Le’n. Tamaam Behno’n Ko Sharaa’it Pehle Se Bata De’n Taa Ki Woh Mukammal Tayyaari Ke Saath Aa’ein. Gosha-o-Durood Ka Tareeqa’e Kaar Darje Dhayl Hai :
1. Tilaawat
2. Qaseedah Burdah Sharif
3. Durood Sharif (Ta’daad JitniMumkin Ho Mukhtas Kar Le’n Aur Use Markaz Bhejne Ka Ehtemaam Kare’n)
4. Salaat-o-Salaam
5. Dua’aa
–
[Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/43.]