Posted in Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Khawaateen Ke Li’e Halqa-E-Durood-o-Salaam

Khawaateen Gharo’n Me Inferaadi Yaa Ijtemaa’iy Halqa-E-Durood Ke Zari’e Is Gosha-o-Durood Me Shaamil Ho Sakti Hain, Lekin Choo’n Ki Yeh Halqa-E-Durood Khaas Ahammiyyat Ka Haamil Hai. Lehaaza Chand Khaas Aadaab Wa Sharaa’it Ke Baghair Ise Padhne Kee Ijaazat Nahin.

1.          Halqa-E-Durood Ke Li’e Khaas Maahaul Ka Ehtemaam Kare’n Aur Shuroo’n Kar Ne Se Pehle 02 Rak’at Nafl Ada Kare’n.

 

2.          Har Baar Halqa-E-Durood Se Pehle Taaza Ghusl Kare’n Aur Baghair Wuzoo Ke Gosha-o-Durood Me Daakhil Na Ho’n.

 

3.          Paak Saaf Kapde Pehne’n (Safed Kapdo’n Ko Tarjeeh De’n) Balki Apna Aik Safed Libaas Sirf Halqa-E-Durood Ke Li’e Mukhtas Kar Le’n.

 

4.          Khusboo Ka Khaas Ehtemaam Kare’n Aur Dunyaawi Guftagu Se Mukammal Ijtenaab Kare’n.

 

5.         Qalb-o-Rooh Kee Tawajjo Se Durood-o-Salaam Padhe’n Aur Tasawwur Me Har Waqt Gumbade Khazra Kee Jaali Mubaarak Honi Chaahi’e.

 

6.         Agar Mumkin Ho To Halqa-E-Durood Ke Din Roza Rakkhe’n.

Note : In Aadaab-o-Sharaa’it Kee Takmeel Ke Baghair Chalte Phirte Uthte Baithte Ki’e Jaane Waale Duroode Paak Ke Wird Kee Fazeelat Apni Jagah Magar Use Halqa-E-Durood Me Shaamil Nahin Kiya Jaa’ega.

[Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/42_43.]