Inferaadi Sat’h Par Halqa-E-Durood Me Shirkat Ke Li’e Darje Dhayl Umoor Ka Khayaal Rakkhe’n :
(1) Inferaadi Sat’h Par Durood-o-Salaam Padhne Ke Li’e Ghar, Daftar Aur Masjid Me Kisi Khaas Waqt Aur Jagah Ka Intekhaab Kiya Jaa Sakta Hai.
(2) Masjid Me Panjgaana Namaaz Ada Kar Ne Ke Ba’d Kuchh Waqt Ke Li’e Alaihida Baith Kar Aap Durood-o-Salaam Padhe’n Aur Shumaar Karte Jaa’ein.
(3) Apne Ghar Aur Daftar Waghaira Me Bhi Aik Khaas Waqt Ke Li’e Sab Kaam Kaaj Chhod Kar Aap Durood-o-Salaam Padh Sakte Hain.
Note : Inferaadi Yaa Ijtemaa’iy Taur Par Durood-o-Salaam Padhne Ke Tamaam Aadaab Baja Laana Zaroori Hai.
–
[Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/42.]