٤٢. ذکر ابن الأثير في الکامل: خَرَجَ الْأشْعَثُ بِالْکِتَابِ يَقْرَؤُهُ عَلَي النَّاسِ حَتَّي مَرَّ عَلَي طَائِفَةٍ مِنْ بَنِي تَمِيْمٍ فِيْهِمْ عُرْوَةُ بْنِ أدَيَةِ أخُو أبِي بِلَالٍ فَقَرَأ عَلَيْهِمْ، فَقَالَ عُرْوَةُ: تَحَکَّمُونَ فِي أمْرِ ﷲ الرِّجَالُ؟ لَا حُکْمَ إِلَّا لِلّٰهِ.
42. “Imam Ibn Athir Ne “Al-Kamil” Me Bayan Kiya: “Ash’ath Bin Qays Ne Us ‘Ahadnaama Ko (Jo Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Hazrat Mu’awiyah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Darmiyan Hu’a Tha) Le Kar Har-Har Qabeele Me Logo’n Ko Sunaana Shuroo’ Kiya. Jab Qabeela-e Bani Tameem Me Pahonche To ‘Urwah Bin Udayyah(Khaariji) Jo Aboo Bilal Ka Bha’i Tha Bhi Un Me Tha Jab Us Ne Woh Mu’aahida Unhe’n Sunaaya To Urwah(Khariji) Kehne Laga: Allah Ke Amr Me Aadmiyo’n Ko Hakam Banaate Ho? Allah Ta’ala Ke Siwa Ko’i Hukm Nahin Kar Sakta.”
–
[Ibn Athir Fi Al-Kami Fi At-Tarikh, 03/196,
Ibn Jawzi Fi Al-Muntazam Fi Tarikh Al-Mulooki Wa’l-Umam, 05/123,
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-55, Raqm-42.]