٤٣. عَنْ عَلِيٍّ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ أنَّهُ کَتَبَ إِلَی الْخَوَارِجِ بِالنَّهْرِ: بِسْمِ ﷲ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ، مِنْ عَبْدِ ﷲ عَلِيٍّ أمِيْرِ الْمُؤْمِنِيْنَ إِلَی زَيْدِ بْنِ حُصَينٍ وَ عَبْدِ ﷲ بْنِ وَهَبٍ وَ مَنْ مَعَهُمَا مِنَ النَّاسِ. أمَّا بَعْدُ فَإِنَّ هَذَيْنِ الرَّجُلَيْنِ اللَّذَيْنِ ارْتَضَيْنَا حَکَمَينِ قَدْ خَالَفَا کِتَابَ ﷲ وَاتَّبَعَا هَوَاهُمَا بِغَيْرِ هُدًی مِنَ ﷲ فَلَمْ يَعْمَلَا بِالسنة وَلَمْ يُنْفَذَا الْقُرْآنَ حُکْمًا فَبَرِی ءَ ﷲ مِنْهُمَا وَ رَسُولُهُ وَالْمُؤْمِنُونَ، فَإِذَا بَلَغَکُمْ کِتَابِي هَذَا فَأقْبِلُوا إِلَيْنَا فَإِنَّا سَائِرُونَ إِلَی عَدُوِّنَا وَ عَدُوِّکُمْ وَ نَحْنُ عَلَی الْأمْرِ الْأوَّلِ الَّذِي کُنَّا عَلَيْهِ.
فَکَتَبُوا (الخوارج) إِلَيْهِ: أمَّا بَعْدُ فَإِنَّکَ لَمْ تَغْضَبْ لِرَبِّکَ وَ إِنَّمَا غَضِبْتَ لِنَفْسِکَ فَإِنْ شَهِدْتَ عَلَی نَفْسِکَ بِالْکُفْرِ وَاسْتَقْبَلْتَ التَّوْبَةَ نَظَرْنَا فِيْمَا بِيْنَنَا وَ بَيْنَکَ وَ إِلَّا فَقَدْ نَبَذْنَاکَ عَلَی سَوَاءٍ، إِنَّ ﷲ لَا يُحِبُّ الْخَائِنِيْنَ.
فَلَمَّا قَرَأ کِتَابَهُمْ أيِسَ مِنْهُمْ وَرَأی أنْ يَدَعَهُمْ وَ يَمْضِيَ بِالنَّاسِ حَتَّی يَلْقَی أهْلَ الشَّامِ حَتَّی يَلْقَاهُمْ.
رَوَاهُ ابْنُ جَرِيْرٍ وَالإِبْنُ الْأثِيْرِ وَابْنُ کَثِيْرٍ.
43. “Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Marwi Hai Ki Unhone Khawaarij Ko Naharwaan Se Khat Likha: “Allah Ke Naam Se Shuroo’ Jo Nihaayat Mehrbaan Hamesha Raham Farmaane Waala Hai. Allah Ke Bande Amir-ul-Mu’mineen ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Taraf Se Zayd Bin Husayn Aur ‘Abd Allah Bin Wahb Aur Un Ke Pairokaaro’n Ke Liye. Waazeh Ho Ki Woh Do² Shakhs Jin Ke Faisle Par Ham Raazi Hu’e They Unhone Kitabullah Ke Khilaaf Kiya Aur Allah Kee Hidaayat Ke Baghair Apni Khwahishaat Kee Pairwi Kee. Jab Unhone Qur’an-o Sunnat Par ‘Amal Nahin Kiya To Allah Aur Allah Ka Rasool Aur Sab Ahle Imaan Un Se Bari Ho Ga’e. Tum Log Is Khat Ko Dekhte Hee Hamaari Taraf Chale Aa’o Taa-Ki Ham Apne Aur Tumhare Dushman Kee Taraf Nikle Aur Ham Ab Bhi Apni Usee Pehli Baat Par Hain.”
“Is Khat Ke Jawaab Me Unhone (Ya’ni Khawaarij Ne) Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Likha: “Waazeh Ho Ki Ab Tumhaara Ghazab Allah Ke Liye Nahin Hai Is Me Nafsaaniyyat Shareek Hai Ab Agar Tum Apne Kufr Par Gawaah Ho Jaa’o (Ya’ni Kafir Hone Ka Iqraar Kar Lo) Aur Na’e Sire Se Tauba Karte Ho To Dekha Jaa’ega Warna Ham Ne Tumhe’n Door Kar Diya Kyun Ki Allah Ta’ala Khayaanat Karne Waalo’n Ko Dost Nahin Rakhta.”
“So Jab Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Un Ka Jawaabi Khat Padha To Un Kee Taraf Se (Hidayat Kee Taraf Lautne Se) Maayoos Ho Ga’e Lehaaza Unhe’n Un Ke Haal Par Chhod Ne Ka Faisla Kar Ke Apne Lashkar Ke Saath Ahle Shaam Se Jaa Mile.”
–
[Ibn Jarir At-Tabari Fi Tarikh Al-Umam Wa’l-Mulook Al-Ma’roof Tarikh At-Tabari, 03/117,
Ibn Athir Fi Al-Kami Fi At-Tarikh, 03/216,
Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 07/287,
Ibn Jawzi Fi Al-Muntazam Fi Tarikh Al-Mulooki Wa’l-Umam, 05/132,
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-55, 56, 57, Raqm-43.]