٤٤. عَنْ زِيَادِ بْنِ أبِيْهِ أنَّ عُرْوَةً بْنَ حُدَيْرٍ (الخارجي) نَجَا بَعْدَ ذَلِکَ مِنْ حَرْبِ النَّهَرْوَانِ وَ بَقِيَ إِلَی أيَامِ مُعَاوِيَةَ رَضِيَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمْ. ثُمَّ أتَی إِلَی زِيَادِ بْنِ أبِيْهِ وَ مَعَهُ مَولَی لَهُ، فَسَألَهُ زِيَادُ عَنْ عُثْمَانَ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ، فَقَالَ: کُنْتُ أوَالِيَ عُثْمَانَ عَلَی أحْوَالِهِ فِي خِلَافَتِهِ سِتَّ سِنِيْنَ. ثُمَّ تَبَرَأتُ مِنْهُ بِعْدَ ذَلِکَ لِلْأحْدَاثِ الَّتِي أحْدَثَهَا، وَ شَهِدَ عَلَيْهِ بِالْکُفْرِ. وَسَألَهُ عَنْ أمِيْرِ الْمُؤْمِنِيْنَ عَلِيِّ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ فَقَالَ: کُنْتُ أتَوَلَّاهُ إِلَی أنْ حَکَمَ الْحَاکِمِيْنَ، ثُمَّ تَبَرَأتُ مِنْهُ بَعْدَ ذَلِکَ، وَ شَهِدَ عَلَيْهِ بِالْکُفْرِ وَسَألَهُ عَنْ مُعَاوِيَةَ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ فَسَبَّهُ سَبًّا قَبِيْحًا. . . فَأمَرَ زِيَادُ بِضَرْبِ عُنُقِهِ. رَوَاهُ الشَّهَرَسْتَانِيُّ.
44. “Ziyad Bin Umayyah Se Marwi Hai Ki ‘Urwah Bin Hudayr (Khaariji) Naharwaan Kee Jang Se Bach Gaya Aur Hazrat Mu’awiyah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Daur Tak Zinda Raha Phir Woh Ziyaad Bin Abih Ke Paas Laaya Gaya Us Ke Saath Us Ka Ghulaam Bhi Tha To Ziyaad Ne Us Se Hazrat ‘Uthman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Haal Daryaaft Kiya? Us Ne Kaha: Ibteda Me Chheh⁶ Saal Tak Unko Mein Bohat Dost Rakhta Tha Phir Jab Unhone Bid’ate’n Shuroo’ Kee’n To Un Se Alaihida Ho Gaya Is Liye Ki Woh Aakhir Me (Na’udhu Billah) Kafir Ho Ga’e They, Phir Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haal Poochha? Kaha: Woh Bhi Awaa’il Me Achhchhe They Jab Hakam Banaaya (Na’udhu Billah) Kafir Ho Ga’e. Is Liye Un Se Bhi Alaihida Ho Gaya. Phir Hazrat Mu’awiyah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Haal Daryaaft Kiya? To Unhe’n Us Ne Sakht Gaaliya’n Dee’n….. Phir Ziyaad Ne Us Kee Gardan Maar Ne Ka Hukm De Diya.”
–
[Shahrastani Fi Al-Milal Wa Al-Nihal, 01/137,
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-57, 58, Raqm-44.]