٤٥. عَنْ أبِي الطُّفَيْلِ: أنَّ رَجُلًا وُلِدَ لَهُ غُلَامٌ عَلَی عَهْدِ رَسُولِ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ فَأتَی النَّبِيَّ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ فَأخَذَ بِبَشَرَةِ وَجْهِهِ وَ دَعَا لَهُ بِالْبَرَکَةِ قَالَ: فَنَبتَتْ شَعَرَةٌ فِي جَبْهَتِهِ کَهَيْئَةِ الْقَوسِ وَ شَبَّ الْغُلَامُ فَلَمَّا کَانَ زَمَنَ الْخَوَارِجِ أحَبَّهُمْ فَسَقَطَتِ الشَّعَرَةُ عَنْ جَبْهَتِهِ فَأخَذَهُ أبُوهُ فَقَيَدَهُ وَ حَسَبَهُ مَخَافَةَ أنْ يَلْحَقَ بِهِمْ قَالَ: فَدَخَلْنَا عَلَيْهِ فَوَعَظْنَاهُ وَ قُلْنَا لَهُ فِيْمَا نَقُولُ ألَمْ تَرَ أنَّ بَرَکَةَ دَعْوَةِ رَسُولِ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ قَدْ وَقَعَتْ عَنْ جَبْهَتِکَ فَمَا زِلْنَا بِهِ حَتَّی رَجَعَ عَنْ رَأيِهِمْ فَرَدَّ ﷲ عَلَيْهِ الشَّعَرَةَ بَعْدُ فِي جَبْهَتِهِ وَ تَابَ.
رَوَاهُ أحْمَدُ وَابْنُ أبِي شيبة.
45. “Aboo Tufayl Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Zamaane Me Ek Ladka Paida Hu’a Woh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me Laaya Gaya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Use Us Ke Chehre Se Pakda Aur Use Du’a Dee Aur Us Ka Yeh Asar Hu’a Ki Us Kee Peshani Par Khaas Taur Par Baal Uge Jo Tamam Baalo’n Se Mumtaz They Woh Ladka Jawaan Hu’a Aur Khawaarij Ka Zamaana Aaya To Use Un Se Mahabbat Ho Ga’i. (Ya’ni Khawaarij Ka Girveeda Ho Gaya) Usi Waqt Woh Baal Jo Daste Mubarak Ka Asar They Jhad Ga’e Us Ke Baap Ne Jo Yeh Haal Dekha Use Qaid Kar Diya Ki Kahi’n Un Me Mil Na Jaa’e. Aboo Tufayl Kehte Hain Ki Ham Log Us Ke Paas Ga’e Aur Wa’z-o Naseehat Kee Aur Kaha: Dekho, Tum Jab Un Logo’n Kee Taraf Maa’il Hu’e Ho To Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Du’a Kee Barkat Tumhari Peshaani Se Jaati Rahi Gharaz Jab Tak Us Shakhs Ne Un Kee Raa’e Se Rujoo’ Na Kiya Ham Us Ke Paas Se Hate Nahin Phir Jab Khawaarij Kee Mahabbat Us Ke Dil Se Nikal Ga’i To Allah Ta’ala Ne Do-Baara Us Kee Peshaani Me Woh Mubarak Baal Lauta Di’e Phir To Us Ne Un Ke Aqa’id Se Tauba Kee.”
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/456, Raqm-23856,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/556, Raqm-37904,
Aboo Nu’aym Fi Dala’il-un-Nubuwwah, 01/174, Raqm-220,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 06/243,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 10/275,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 05/359, Raqm-6972,
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-58, 59, Raqm-45.]