٤٦. عَنْ سَعِيْدِ بْنِ جُهْمَانٍ قَالَ: کَانَتِ الْخَوَارِجُ قَدْ تَدْعُوْنِي حَتَّی کِدْتُ انْ ادْخُلَ فِيْهِمْ، فَرَاتْ اخْتُ ابِي بِلاَلٍ فِي النَّوْمِ انَّ ابَا بِلاَلٍ کَلْبٌ اهْلَبُ اسْوَدُ عَيْنَاهُ تَذْرِفَانِ. فَقَالَتْ: بِابِي انْتَ يَا ابَا بِلَالٍ مَا شَانُکَ ارَاکَ هَکَذَا؟ وَ کَانَ ابُو بِلاَلٍ مِنْ رُؤُوسِ الْخَوَارِجِ.
رَوَاهُ ابْنُ ابِي شَيْبَةَ وَ ابْنُ ابِي عَاصِمٍ وَاللَّفْظُ لَهُ اسْنَادُهُ صَحِيْحٌ.
46. “Sa’iyd Bin Juhmaan Se Marwi Hai Bayan Kiya Ki Khawaarij Mujhe (Apni Taraf) Da’wat Diya Karte They (So Us Se Muta’assir Ho Kar) Qareeb Tha Ki Mein Un Ke Saath Shaamil Ho Jaata Ki Aboo Bilal Kee Behen Ne Dekha Ki Aboo Bilal Kaale Lambe Baalon Waale Kutton Kee Shakl Me Hain Aur Us Kee Aankhe’n Beh Rahi Thi. Bayaan Kiya Ki Us Ne Kaha: Ae Aboo Bilal Mera Baap Aap Par Qurban, Kya Wajah Hai Ki Mein Tumhe’n Is Haal Me Dekh Rahi Hoo’n. Us Ne Kaha: Ham Log Tumhaare Baa’d Dozakh Ke Kutte Bana Di’e Ga’e Hain Woh Aboo Bilal Khaarjiyo’n Ke Sardaaron Me Se Tha.”
–
[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/555, Raqm-37895,
‘Abd Allah Bin Ahmad Fi As-Sunnah, 02/634, Raqm-1509,
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-59, 60, Raqm-46.]