٤٩. عَنْ ابِي يَحْيَی قَالَ: سَمِعَ رَجُلًا مِنَ الْخَوَارِجِ وَ هُوَ يُصَلِّي صَلَاةَ الْفَجْرِ يَقُولُ: ﴿وَلَقَدْ اوْحِيَ الَيْکَ وَالَی الَّذِيْنَ مِنْ قَبْلِکَ لَءِنْ اشْرَکْتَ لَيَحْبِطَنَّ عَمَلُکَ وَ لَتَکُونَنَّ مِنَ الْخَاسِرِيْنَ﴾،[الزمر، 39: 65]، قَالَ فَتَرَکَ سُورَتَهُ الَّتِي کَانَتْ فِيْهَا قَالَ: وَ قَرَا﴿فَاصْبِرْ انَّ وَعْدَ ﷲ حَقٌّ وَلَا يَسْتَخِفَّنَّکَ الَّذِيْنَ لَا يُوقِنُونَ﴾، [الروم، 30: 60.]
رَوَاهُ ابْنُ ابِي شَيْبَةَ.
49. “Aboo Yahya Se Marwi Hai Unhone Bayan Kiya Ki Ek Khaariji Ne Sub’h Ki Namaz Me Yeh Aayat Padhi. “Aur Fil-Haqeeqat Aap Kee Taraf (Yeh) Wahyi Kee Ga’i Hai Aur Un (Paighambaro’n) Kee Tarh (Bhi) Jo Aap Se Pehle (Mab’oos Hu’e) They Ki (Ae Insan!) Agar Too Ne Shirk Kiya To Yaqeenan Tera ‘Amal Barbaad Ho Jaa’ega Aur Too Zaroor Nuqsaan Uthaane Waalo’n Me Se Hoga.” Mazeed Bayan Kiya: Phir Is Soorat Ko Chhod Kar Us Ne Doosri Soorat Kee Yeh Aayat Padh Daali, “Pas Aap Sabr Keeji’e, Be-Shak Allah Ta’ala Ka Wa’da Sachcha Hai, Jo Log Yaqeen Nahin Rakhte Kahi’n Aap Ko Kamzor Hee Na Kar De.” (Khawaarij In Aayaate Qur’ani Ko Chun-Chun Kar Namaz Me Padhte They Jin Se Baza’m Khesh Un Badbakhto’n Ke Ma’adhAllah Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Tanqeese Shaan Ka Koi Shaa’eba Paida Hota Tha. Yeh Un Kee Gustaakhaana Soch Aur Badbakhti Thi).”
–
[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/554, Raqm-37891,
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-62, Raqm-49.]