Posted in Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 48

٤٨.          عَنِ السَّائِبِ بْنِ يَزِيْدَ: قَالَ: فَبَيْنَمَا عُمَرُ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ ذَاتَ يَوْمٍ جَالِسًا يُغَدِّي النّاسَ اذَا جَاءَ رَجُلٌ عَلَيْهِ ثِيَابٌ وَ عِمَامَةٌ فَتَغَدَّی حَتَّی اذَا فَرَغَ قَالَ: يَا امِيْرَ المُؤْمِنِيْنَ، ﴿وَالذَّارِيَاتِ ذَرْوًا فَالْحَامِلَاتِ وِقْرًا﴾ فَقَالَ عُمَرُ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ: انْتَ هُوَ فَقَامَ الَيْهِ وَ حَسَرَ عَنْ ذِرَاعَيْهِ فَلَمْ يَزَلْ يَجْلِدُهُ حَتَّی سَقَطَتْ عِمَامَتُهُ، فَقَالَ: وَالَّذِي نَفْسُ عُمَرُ بِيَدِهِ، لَوْ وَجَدْتُکَ مَحْلُوقًا لَضَرَبْتُ رَاسَکَ. رَوَاهُ الامَامُ أَبُوالْقَاسِمِ هِبَةُ ﷲ الْلاَلکَائِيُّ.

48.          “Hazrat Sa’ib Bin Yazid Ne Bayan Kiya Ki Ek Din Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Logo’n Ke Saath Baithey Dopahar Ka Khaana Kha Rahe They Usi Asna Me Ek Shakhs Aaya Us Ne (A’la) Kapde Pehn Rakkhe They Aur Amaama Baandha Hu’a Tha To Us Ne Bhi Dopahar Ka Khaana Khaaya Jab Faarigh Hu’a To Kaha, Ae Amir-ul-Mu’mineen (وَالزَّارِيَاتِ ذَرْوًا فَالْحَامِلَاتِ وِقْرًا) Ka Kya Ma’na Hai? Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Farmaya: Too Wohi (Gustaakhe Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Hai. Phir Us Kee Taraf Badhe Aur Apne Baazu Chadha Kar Use Itne Kode Maare Yaha’n Tak Ki Us Ka Amaama Gir Gaya. Phir Farmaya: Us Zaat Kee Qasam Jis Ke Qabza-e Qudrat Me Meri Jaan Hai, Agar Mein Tujhe Sar Munda Hua Paata To Tera Sar Kaat Deta.”

[Lalaka’i Fi I’tiqad Ahl As-Sunnah, 04/634, Raqm-1136,

Shawkani Fi Nayl-ul-Awtar Min Asrar Muntaqa Al-Akhbar, 01/155,

Azim Abadi Fi ‘Awn-ul-Ma’boodi Sharh Sunan Abi Dawud, 11/166,

Ibn Qudamah Fi Al-Mughni, 01/65,

Ibn Qudamah Fi Al-Mughni, 09/08,

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-61, Raqm-48.]