Posted in Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 27

٢٧.          عَنْ عَبْدِ ﷲ بْنِ عَمْرِو بْنِ الْعَاصِ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُم قَالَ: سَمِعْتُ رَسُولَ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ: سَيَخْرُجُ أُنَاسٌ مِنْ أُمَّتِي مِنْ قِبَلِ الْمَشْرِقِ يَقْرَءُونَ الْقُرْآنَ لَا يُجَاوِزُ تَرَاقِيَهُمْ کُلَّمَا خَرَجَ مِنْهُمْ قَرْنٌ قُطِعَ کُلَّمَا خَرَجَ مِنْهُمْ قَرْنٌ قُطِعَ حَتَّی عَدَّهَا زِيَادَةً عَلَی عَشْرَةِ مَرَّاتٍ کُلَّمَا خَرَجَ مِنْهُمْ قَرْنٌ قُطِعَ حَتَّی يَخْرُجُ الدَّجَّالَ فِي بَقِيَتِهِمْ. رَوَاهُ أَحْمَدُ وَالْحَاکِمُ.

27.          “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Amr Bin ‘Aas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna: Meri Ummat Me Mashriq Kee Jaanib Se Kuchh Aise Log Niklenge Jo Qur’an Padhte Honge Lekin Woh Un Ke Halq Se Neeche Nahin Utrega Aur Un Me Se Jo Bhi (Shaitaan Ke) Seeng Kee (Soorat) Me Niklega Kaat Diya Jaa’ega. Un Me Se Jo Bhi (Shaitaan Ke) Seeng Kee (Soorat) Me Niklega Kaat Diya Jaa’ega Yaha’n Tak Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Yoo’n Hee Das¹⁰ Daf’a Se Bhi Ziyaada Baar Dohraaya Farmaya: Un Me Jo Bhi (Shaitaan Ke) Seeng Kee Soorat Me Zaahir Hoga Kaat Diya Jaa’ega Yaha’n Tak Ki Un Hee Kee Baaqi Maaninda Nasl Se Dajjaal Niklega.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/198, Raqm-6871,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/533, Raqm-8479,

Ibn Hammad Fi Al-Fitan, 02/532,

Ibn Rashid Fi Al-Jami’, 11/377,

Ajuri Fi Ash-Shari’ah, 01/113, Raqm-260,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 06/228,

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-40, Raqm-27.]