Posted in Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 04

٤.                  عَنْ أبِي سَعِيْدٍ الْخُدْرِيِّ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ قَالَ: بَعَثَ عَلِيٌّ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ وَ هُوَ بِاليمن إِلَی النَّبِيِّ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ بِذُهَيْبَةٍ فِي تُرْبَتٍِهَا فَقَسَمَهَا بَيْنَ الْأقْرَعِ بْنِ حَابِسٍ الْحَنْظَلِيِّ ثُمَّ أحَدِ بَنِي مُجَاشِعٍ وَ بَيْنَ عُيَيْنَةَ بْنِ بَدْرٍ الْغَزَارِيِّ وَ بَيْنَ عَلْقَمَةَ بْنِ عُلَاثَةَ الْعَامِرِيِّ ثُمَّ أحَدِ بَنِي کِلَابٍ وَ بَيْنَ زَيْدِ الْخَيْلِ الطَّائِيِّ ثُمَّ أحَدِ بَنِي نَبْهَانَ فَتَغَيَّظَتْ قُرَيْشٌ وَالْأنْصَارُ فَقَالُوْا: يُعْطِيْهِ صَنَادِيْدَ أهْلِ نَجْدٍ وَ يَدَعُنَا، قَالَ: إِنَّمَا أتَألَّفُهُمْ فَأقْبَلَ رَجُلٌ غَائِرُ الْعَيْنَيْنِ نَاتِءُ الْجَبِيْنِ، کَثُ اللِّحْيَةِ، مُشْرِفُ الْوَجْنَتَيْنِ، مَحْلُوقُ الرَّأسِ، فَقَالَ: يَا مُحَمَّدُ، اِتَّقِ ﷲ، فَقَالَ النَّبِيُّ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ: فَمَنْ يُطِيْعُ ﷲ إِذَا عَصَيْتُهُ فَيَأمَنُنِي عَلَی أهْلِ الْأرْضِ، وَ لَاتَأمَنُوْنِي؟ فَسَألَ رَجُلٌ مِنَ الْقَوْمِ قَتْلَهُ أرَاهُ خَالِدَ بْنَ الوليد فَمَنَعَهُ النَّبِيُّ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ (وَ فِي رِوَايَةِ أبِي نُعَيْمٍ: فَقَالَ: يَا مُحَمَّدُ، اتَّقِ ﷲ، وَ اعْدِلْ، فَقَالَ رَسُوْلُ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ: يَأمَنُنِي أهْلُ السَّمَاءِ وَ لَا تَأمَنُوْنِي؟ فَقَالَ أبُوْ بَکْرٍ: أضْرِبُ رَقَبَتَهُ يَا رَسُولَ ﷲ؟ قَالَ: نَعَمْ، فَذَهَبَ فَوَجَدَهُ يُصَلِّي، فَجَاءَ النَّبِيَّ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ فَقَالَ: وَجَدْتُهُ يُصَلِّي فَقَالَ آخَرُ: أنَا أضْرِبُ رَقَبَتَهُ؟) فَلَمَّا وَلَّی قَالَ النَّبِيُّ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ: إِنَّ مِنْ ضِئْضِيئِ هَذَا قَوْمًا يَقْرَءُوْنَ الْقُرْآنَ لَا يُجَاوِزُ حَنَاجِرَهُمْ يَمْرُقُوْنَ مِنَ الإِسْلاَمِ مُرُوقَ السَّهْمِ مِنَ الرَّمِيَّةِ يَقْتُلُوْنَ أهْلَ الإِسْلَامِ وَ يَدْعُوْنَ أهْلَ الْأوثَانِ لَئِنْ أدْرَکْتُهُمْ لَأقْتُلَنَّهُمْ قَتْلَ عَادٍ.

مُتَّفَقٌ عَلَيْهِ وَ هَذَا لَفْظُ الْبُخَارِيِّ.

04.            “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Yaman Se Mitti Me Mila Hu’a Thoda-Sa Sona Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Bheja To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Use Aqra’a Bin Habis Al-Hanzali Jo Bani Mujashi’ Ka Ek Fard Tha Aur ‘Uyaynah Bin Badr Fazari,  ‘Alqama Bin Ulathah Aamiri, Jo Bani Kilab Se Tha Aur Zayd Al-Khayl Ta’i Jo Bani Nab’han Se Tha Un Chaaro’n Ke Darmiyan Taqseem Farma Diya. Is Par Quraysh Aur Ansaar Ko Narazgi Hu’i Aur Unhone Kaha Ki Ahle Najd Ke Sardaro’n Ko Maal Dete Hain Aur Hame’n Nazar-Andaaz Karte Hain. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Mein To Un Kee Taalife Qalb Ke Liye Karta Hoo’n. Isi Asna Me Ek Shakhs Aaya Jis Kee Aankhe’n Andar Ko Dhansi Hu’i,  Peshaani Ubhri Hu’i, Daadhi Ghani, Gaal Phule Hu’e Aur Sar Munda Hu’a Tha Aur Us Ne Kaha: Ae Muhammad! Allah Se Daro, Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Allah Ta’ala Kee Itaa’at Karne Waala Kaun Hai? Agar Mein Us Kee Na-Farmani Karta Hoo’n Haala’n Ki Us Ne Mujhe Zameen Waalo’n Par Ameen Banaaya Hai Aur Tum Mujhe Ameen Nahin Maante. To Sahaba Me Se Ek Shakhs Ne Use Qatl Kar Ne Kee Ijaazat Maangi Mere Khayaal Me Woh Hazrat Khalid Bin Walid RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu They To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Unhe’n Mana’ Farma Diya (Aur Aboo Nu’aym Kee Riwayat Me Hai Ki “Us Shakhs Ne Kaha: Ae Muhammad Allah Se Daro Aur ‘Adal Karo, To Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Aasmaan Waalo’n Ke Haa’n Mein Amaanat-Daar Hoo’n Aur Tum Mujhe Ameen Nahin Samajhte? To Hazrat Aboo Bakr Siddiq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne ‘Arz Kiya: Ya RasoolAllah! Mein Us Kee Gardan Kaat Doo’n? Farmaya: Haa’n, So Woh Ga’e To Use Namaz Padhte Hu’e Paaya, To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Haazir Ho Kar ‘Arz Kiya: Mein Ne Use Namaz Padhte Paaya (Is Liye Qatl Nahin Kiya) To Kisi Doosre Sahabi Ne ‘Arz Kiya: Mein Us Kee Gardan Kaat Doo’n? Jab Woh Chala Gaya To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Us Shakhs Kee Nasl Se Aisi Qaum Paida Hogi Ki Woh Log Qur’an Padhenge Lekin Un Ke Halq Se Neeche Nahin Utrega, Woh Islam Se Is Tarh Nikal Jaa’enge Jaise Teer Shikaar Se Nikal Jaata Hai. Woh But-Parasto’n Ko Chhod Kar Musalmano’n Ko Qatl Karenge Agar Mein Unhe’n Paa’u’n To Qaume ‘Aad Kee Tarh Zaroor Unhe’n Qatl Kar Doo’n.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2702, Raqm-6995,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1219, Raqm-3166,

Muslim Fi As-Sahih, 02/741, Raqm-1064,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/243, Raqm-4764,

Nasa’i Fi As-Sunan, 07/118, Raqm-4101,

Nasa’i Fi As-Sunan, 05/87, Raqm-2578,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/356, Raqm-11221,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/68,73, Raqm-11666, 11713,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 10/156,

Aboo Nu’aym Fi Al-Musnad Al-Mustakhraj ‘Ala Sahih Al-Imam Muslim, 03/127, Raqm-2373,

Abd-ur-Razzaue Fi Al-Musannaf, 10/156,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/339, Raqm-12724,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 07/18, Raqm-12962,

Aboo Nu’aym Fi Hilyatul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 05/72,

Shawkani Fi Nayl-ul-Awtar Min Asrar Muntaqa Al-Akhbar, 07/345,

Ibn Taymiyyah Fi Al-Sarim-ul-Maslool ‘Ala Shatim Al-Rasool, 01/196,

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-12, 13, 14, Raqm-04.]