٣. عَنْ أبِي سَعِيْدٍ الْخُدْرِيِّ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ قَالَ: بَيْنَا النَّبِيُّ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ يَقْسِمُ ذَاتَ يَوْمٍ قِسْمًا فَقَالَ ذُوالْخُوَيْصَرَةِ رَجُلٌ مِنْ بَنِي تَمِيْمٍ: يَا رَسُولَ ﷲ، اعْدِلْ، قَالَ: وَيْلَکَ مَنْ يَعْدِلُ إِذَا لَمْ أعْدِلْ؟ فَقَالَ عُمَرُ: ائْذَنْ لِي فَلْأضْرِبْ عُنُقَهُ، قَالَ: لَا، إِنَّ لَهُ أصْحَابًا يَحْقِرُ أحَدُکُمْ صَلَاتَهُ مَعَ صَلَاتِهِمْ، وَ صِيَامَهُ مَعَ صِيَامِهِمْ، يَمْرُقُونَ مِنَ الدِّيْنِ کَمُرُوْقِ السَّهْمِ مِنَ الرَّمِيَّةِ يَنْظُرُ إِلَی نَصْلِهِ فَلاَ يُوجَدُ فِيْهِ شَيئٌ ثُمَّ يَنْظُرُ إِلَی رِصَافِهِ فَلاَ يُوجَدُ فِيْهِ شَيئٌ ثُمَّ يَنْظُرُ إِلَی نَضِيِّهِ فَلاَ يُوْجَدُ فِيْهِ شَيئٌ ثُمَّ يَنْظُرُ إِلَی قُذَذِهِ فَلاَ يُوجَدُ فِيْهِ شَيئٌ، قَدْ سَبَقَ الْفَرْثَ وَ الدَّمَ يَخْرُجُونَ عَلَی حِيْنَ فُرْقَةٍ مِنَ النَّاسِ آيَتُهُمْ رَجُلٌ إِحْدَی يَدَيْهِ مِثْلُ ثَدْيِ المَرْأةِ أوْ مِثْلُ البَضْعَةِ تَدَرْدَرُ. قَالَ أبُو سَعِيْدٍ: أشْهَدُ لَسَمِعْتُهُ مِنَ النَّبِيِّ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ، وَ أشْهَدُ أنِّي کُنْتُ مَعَ عَلِيٍّ حِيْنَ قَاتَلَهُمْ فَالْتُمِسَ فِي الْقَتْلَی فَأتِيَ بِهِ عَلَی النَّعْتِ الَّذِي نَعْتَ النَّبِيُّ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ.
مُتَّفَقٌ عَلَيْهِ.
03. “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Unhone Farmaya: Ki Ek Roz Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Maale (Ghaneemat) Taqseem Farma Rahe They To Dhu Al-Khuwaysarah Naami Shakhs Jo Ki Bani Tameem Se Tha, Ne Kaha: Ya RasoolAllah! Insaaf Keeji’e. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Too Halaak Ho, Agar Mein Insaaf Na Karoo’n To Aur Kaun Insaaf Karega? Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne ‘Arz Kiya: Mujhe Ijaazat De’n Ki Us Kee Gardan Uda Doo’n? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Nahin, Kyun Ki Us Ke Saathi Bhi Hain Ki Tum Un Kee Namazo’n Ke Muqaabale Me Apni Namazo’n Ko Haqeer Jaanoge Aur Un Ke Rozo’n Ke Muqaabale Me Apne Rozo’n Ko Haqeer Jaanoge. Woh Deen Se Is Tarh Nikle Hu’e Honge Jaise Shikaar Se Teer Nikal Jaata Hai, Phir Us Ke Paikaan Par Kuchh Nazar Nahin Aata, Us Ke Puththey Par Bhi Kuchh Nazar Nahin Aata, Us Kee Lakdi Par Bhi Kuchh Nazar Nahin Aata Aur Na Us Ke Paro’n Par Kuchh Nazar Aata Hai, Woh Gobar Aur Khoon Ko Bhi Chhod Kar Nikal Jaata Hai. Woh Logo’n Me Firqa-Bandi Ke Waqt (Use Hawa Dene Ke Liye) Niklenge. Un Kee Nishaani Yeh Hai Ki Un Me Ek Aadami Ka Haath ‘Aurat Ke Pistaan Ya Gost Ke Lothde Kee Tarh Hilta Hoga. Hazrat Aboo Sa’iyd RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmaate Hain Ki Mein Gawaahi Deta Hoo’n Ki Mein Ne Yeh Hadithe Paak Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suni Hai Aur Mein (Yeh Bhi) Gawaahi Deta Hoo’n Ki Mein Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath Tha Jab Un Logo’n Se Jang Kee Ga’i, Us Shakhs Ko Maqtooleen Me Talaash Kiya Gaya To Us Wasf Ka Ek Aadami Mil Gaya Jo Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Bayan Farmaya Tha.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2271, Raqm-5811,
Bukhari Fi As-Sahih, 06/2540, Raqm-6534,
Muslim Fi As-Sahih, 02/744, Raqm-1064,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/159, Raqm-8560, 8561,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/355, Raqm-11220,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/25, Raqm-11639,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/140, Raqm-6741,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/171,
Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 10/146,
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-10, 11, Raqm-03.]