Posted in Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 02

٢.          وَ فِي رِوَايَةِ مُسْلِمٍ زَادَ: فَقَامَ إِلَيْهِ عُمَرُ بْنُ الخَطَّابِ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ، فَقَالَ: يَا رَسُولَ ﷲ، ألاَ أضْرِبُ عُنُقَهُ؟ قَالَ: لاَ، قَالَ: ثُمَّ أدْبَرَ فَقَامَ إِلَيْهِ خَالِدٌ سَيْفُ ﷲ. فَقَالَ: يَا رَسُولَ ﷲ ألاَ أضْرِبُ عُنُقَهُ؟ قَالَ: لاَ، فَقَالَ: إِنَّهُ سَيَخْرُجُ مِنْ ضِئْضِئِی هَذَا قَوْمٌ، يَتْلُونَ کِتَابَ ﷲ لَيِّنًا رَطْبًا، (وَ قَالَ: قَالَ عَمَّارَةُ: حَسِبْتُهُ) قَالَ: لَئِنْ أدْرَکْتُهُمْ لَأقْتُلَنَّهُمْ قَتْلَ ثَمُوْدَ.

02.          “Aur Muslim Kee Ek Riwayat Me Izaafa Hai Ki Hazrat ‘Umar Farooq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Khade Hu’e Aur ‘Arz Kiya: Ya RasoolAllah! Kya Mein Is (Munafiq) Kee Gardan Na Uda Doo’n? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Nahin, Phir Woh Shakhs Chala Gaya, Phir Hazrat Khalid Sayfullah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Khade Ho Kar ‘Arz Kiya: Ya RasoolAllah! Mein Us (Munafiq) Kee Gardan Na Uda Doo’n? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Nahin Us Kee Nasl Se Aise Log Paida Honge Jo Qur’an Bohat Hee Achhchha Padhenge (Raawi) Ammarah Kehte Hain Ki Mera Khayaal Hai Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Yeh Bhi Farmaya: Agar Mein Un Logo’n Ko Paa Leta To (Qaume) Samood Kee Tarh Zaroor Unhe’n Qatl Kar Deta.”

[Muslim Fi As-Sahih, 02 /743, Raqm-1064,

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-09, 10, Raqm-02.]