١٨. أخرج البخاري في صحيحه في ترجمة الباب: قَولُ ﷲ تَعَالَی: ﴿وَمَا کَانَ ﷲ لِيُضِلّ قَومًا بَعْدَ إِذْ هَدَاهُمْ حَتَّی يُبَيِنَ لَهُمْ مَا يَتَّقُونَ ﴾ [التوبة، ٩ : ١١٥ ] وَ کَانَ ابْنُ عُمَرَ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُما يَرَاهُمْ شِرَارَ خَلْقِ ﷲ، وَ قَالَ: إِنَّهُمُ انْطَلَقُوا إِلَی آيَاتٍ نَزَلَتْ فِي الْکُفَّارِ فَجَعَلُوْهَا عَلَی الْمُؤْمِنِيْنَ.
و قال العسقلاني في الفتح: و صله الطبري في مسند علي من تهذيب الآثار من طريق بکير بن عبد ﷲ بن الأشج: أنَّهُ سَألَ نَافِعًا کَيْفَ کَانَ رَأی ابْنُ عُمَر فِي الْحَرُوْرِيَةِ؟ قَالَ: کَانَ يَرَاهُمْ شِرَارَ خَلْقِ ﷲ، انْطَلَقُوا إِلَی آيَاتِ الْکُفَّارِ فَجَعَلُوهَا فِي الْمُؤْمِنِيْنَ.
قلت: و سنده صحيح، و قد ثبت في الحديث الصحيح المرفوع عند مسلم من حديث أبي ذر رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ في وصف الخوارج: هُمْ شِرَارُ الْخَلْقِ وَ الْخَلِيْقَةِ. و عند أحمد بسند جيد عن أنس مرفوعًا مثله.
و عند البزار من طريق الشعبي عَنْ عَائِشَةَ رَضِيَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا قَالَتْ: ذَکَرَ رَسُولُ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ الْخَوَارِجَ فَقَالَ: هُمْ شِرَارُ أمَّتِي يَقْتُلُهُمْ خِيَارُ أمَّتِي. وسنده حسن.
و عند الطبراني من هذا الوجه مرفوعا: هُمْ شِرَارُ الْخَلْقِ وَ الْخَلِيْقَةِ يَقْتُلُهُمْ خَيْرُ الْخَلْقِ وَ الْخَلِيْقَةِ. و في حديث أبي سعيد رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ عند أحمد: هُمْ شَرُّ الْبَرِيَةِ.
و فِي رواية عبيد ﷲ بن أبي رافع عن علي رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ عند مسلم: مِنْ أبْغَضِ خَلْقِ ﷲ إِلَيْهِ.
و في حديث عبد ﷲ بن خباب رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ يعني عن أبيه عند الطبراني: شَرُّ قَتْلَي أظَلَّتْهُمُ السَّمَاءُ وَ أقَلَّتْهُمُ الْأرْضُ. و في حديث أبي أمامة رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ نحوه.
و عند أحمد و ابن أبي شيبة من حديث أبي برزة مرفوعًا في ذکر الخوارج: شَرُّ الْخَلْقِ وَ الْخَلِيْقَةِ يَقُولُهَا ثَلَاثًا.
و عند ابن أبي شيبة من طريق عمير بن إسحاق عَنْ أبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ: هُمْ شَرُّ الْخَلْقِ. و هذا مما يؤيد قول من قال بکفرهم.
18. “Imam Bukhari Ne Apni Sahih Me Baab Ke ‘Unwaan Ke Taur Par Yeh Hadith Riwayat Kee Hai: Allah Ta’ala Ka Farman: “Aur Allah Kee Shaan Nahin Ki Woh Kisi Qaum Ko Gumraah Kar De. Is Ke Baa’d Ki Us Ne Unhe’n Hidayat Se Nawaz Diya Ho, Yaha’n Tak Ki Woh Un Ke Liye Woh Cheeze’n Waazeh Faruma De Jin Se Unhe’n Parhez Karna Chaahiye.” Aur (‘Abd Allah) Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Un (Khawaarij) Ko Allah Ta’ala Kee Bad-Tareen Makhlooq Samajhte They. (Kyun Ki) Unhone Allah Ta’ala Kee Un Aayaat Ko Liya Jo Kuffaar Ke Haqq Me Naazil Hu’i Thi’n Aur Un Ka Itlaaq Momineen Par Karna Shuroo’ Kar Diya.
Aur Imam ‘Asqalani “Fat’h-ul-Bari” Me Bayan Karte Hain Ki Imam Tabari Ne Is Hadith Ko Tahzib-ul-Aathar Se Bukayr Bin ‘Abd Allah Bin Ashajj Ke Tareeq Se Musnade ‘Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Me Shaamil Kiya Hai Ki Unhone Nafi’ Se Poochha Ki ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Kee Harooriyya (Khawaarij) Ke Baare Me Kya Raa’e Thi? To Unhone Farmaya: Woh Unhe’n Allah Ta’ala Kee Makhlooq Ke Bad-Tareen Log Khayaal Karte They Jinhone Allah Ta’ala Kee Un Aayaat Ko Liya Jo Kuffaar Ke Haqq Me Naazil Hu’i’n Thi Aur Un Ka Itlaaq Momineen Par Kiya.
Mein (Ibne Hajar ‘Asqalani) Kehta Hoo’n Ki Is Hadith Kee Sanad Sahih Hai Aur Tehqeeq Yeh Sanade Hadith Sahih Marfoo’ Me Imam Muslim Ke Haa’n Aboo Dhar Ghaffari Kee Khawaarij Ke Wasf Waali Hadith Me Saabit Hai Aur Woh Hadith Yeh Hai Ki “Woh Khalq Aur Khulq Me Bad-Tareen Log Hain” Aur Imam Ahmad Bin Hanbal Ke Haa’n Bhi Usi Kee Misl Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Marfoo’ Hadith Hai.
Aur Imam Bazzar Ke Haa’n Sha’bi Ke Tareeq Se Woh Hazrat ‘Aa’ishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwayat Karte Hain Ki Aap Ne Farmaya: Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Khawaarij Ka Zikr Kiya Aur Farmaya: “Woh Meri Ummat Ke Bad-Tareen Log Hain Aur Un Ko Meri Ummat Ke Behtareen Log Qatl Karenge.” Aur Is Hadith Kee Sanad Hasan Hai.
Aur Imam Tabarani Ke Haa’n Usi Tareeq Se Marfoo’ Hadith Me Marwi Hai Ki “Woh (Khawaarij) Bad-Tareen Khalq Aur Khulq Waale Hain Aur Un Ko Behtareen Khalq Aur Khulq Waale Log Qatl Karenge.”
Aur Imam Ahmad Bin Hanbal Ke Haa’n Hazrat Aboo Sa’iyd Waali Hadith Me Hai Ki “Woh (Khawaarij) Makhlooq Me Se Sab Se Bad-Tareen Log Hain.”
Aur Imam Muslim Ne ‘Ubayd Allah Bin Abi Rafi’ Kee Riwayat Me Bayan Kiya Jo Unhone Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Riwayat Kee Ki “Yeh (Khawaarij) Allah Ta’ala Kee Makhlooq Me Se Us Ke Nazdeek Sab Se Bad-Tareen Log Hain.”
Aur Imam Tabarani Ke Haa’n ‘Abd Allah Bin Khabbab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Waali Hadith, Jo Woh Apne Waalid Se Riwayat Karte Hain Me Hai Ki “Yeh (Khawaarij) Bad-Tareen Maqtool Hain Jin Par Aasmaan Ne Saaya Kiya Aur Zameen Ne Un Ko Uthaaya.” Aur Aboo Umamah Waali Hadith Me Bhi Yehi Alfaz Hain.
Aur Imam Ahmad Bin Hanbal Aur Ibn Abi Shaybah Aboo Barzah Kee Hadith Ko Marfoo’an Khawaarij Ke Zikr Me Bayan Karte Hain Ki “Woh (Khawaarij) Bad-Tareen Khalq Aur Khulq Waale Hain.”
Aisa Teen³ Daf’a Farmaya.
Aur Ibn Abi Shaybah Ke Haa’n Umar Bin Is’haq Ke Tareeq Se Woh Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Karte Hain Ki “Woh (Khawaarij) Bad-Tareen Makhlooq Hai.” Aur Yeh Woh Cheez Hai Jo Us Shakhs Ke Qaul Ki Taa’id Karti Hai Jo Un Ko Kaafir Qaraar Deta Hai.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2539,
Muslim Fi As-Sahih, 02/750, Raqm-1067,
Muslim Fi As-Sahih, 02/749, Raqm-1066,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/243, Raqm-4765,
Nasa’i Fi As-Sunan, 07/119, 120, Raqm-4103,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/60, Raqm – 170,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/15, 224, Raqm-11133, 13362,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/421, 424,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/31, 176, Raqm-21571,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/387, Raqm-6939,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/557, 559, Raqm-37905, 37917,
Bazzar Fi Al-Musnad, 09/294/305, Raqm-3846,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/167, Raqm-2659,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/186, Raqm-6142,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/335, Raqm-7660,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/42, Raqm-33,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/19, Raqm-4461,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 08/266, Raqm-8033,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/188,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 05/337, Raqm-2963,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 06/230, 239,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,12/286, Raqm-6532,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Taghliq At-Ta’liq, 05/259,
Ibn ‘Abd-il-Barr Fi At-Tamhid, 23/335,
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’,Safha-30 Ta 34, Raqm-18.]