١٢. عَنْ أبِي سَعِيْدٍ الْخُدْرِيِّ وَ أنَسِ بْنِ مَالِکٍ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُما عَنْ رَسُوْلِ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ قَالَ: سَيَکُونُ فِي أمَّتِي اخْتِلَافٌ وَ فُرْقَةٌ قَوْمٌ يُحْسِنُوْنَ الْقِيْلَ وَ يُسِيْءُونَ الْفِعْلَ يَقْرَأوْنَ الْقُرْآنَ لَا يُجَاوِزُ تَرَاقِيَهُمْ (وَ فِي رِوَايَةٍ: يَحْقِرُ أَحَدُکُمْ صَلَاتَهُ مَعَ صَلَاتِهِمْ وَ صِيَامَهُ مَعَ صِيَامِهِمْ) يَمْرُقُوْنَ مِنَ الدِّيْنِ مُرُوْقَ السَّهْمِ مِنَ الرَّمِيَّةِ لَا يَرْجِعُوْنَ حَتَّی يَرْتَدَّ عَلَی فُوْقِهِ هُمْ شَرُّالْخَلْقِ وَ الْخَلِيْقَةِ طُوبَی لِمَنْ قَتَلَهُمْ وَ قَتَلُوهُ يَدْعُونَ إِلَی کِتَابِ ﷲ وَ لَيْسُوا مِنْهُ فِي شَيءٍ مَنْ قَاتَلَهُمْ کَانَ أوْلَی بِاﷲِ مِنْهُمْ قَالُوْا: يَا رَسُولَ ﷲ مَا سِيْمَاهُمْ؟ قَالَ: التَّحْلِيقُ.
وَ فِي رِوَايَةٍ: عَنْ أنَسٍ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ أَنَّ رَسُولَ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ قَالَ نَحْوَهُ: سِيْمَاهُمْ التَّحْلِيْقُ وَ التَّسْبِيْدُ.
رَوَاهُ أبُودَاوُدَ وَ ابْنُ مَاجَةَ مُخْتَصْرًا وَ أحْمَدُ وَ الْحَاکِمُ.
12. “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri Aur Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: ‘Anqareeb Meri Ummat Me Ikhtelaf Aur Tafreka Baazi Hogi, Ek Qaum Aisi Hogi Ki Woh Log Guftaar Ke Achchhe Aur Kirdaar Ke Bure Honge, Qur’an Paak Padhenge Jo Un Ke Gale Se Nahin Utrega (Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Tum Apni Namazo’n Aur Rozo’n Ko Un Kee Namazo’n Aur Rozo’n Ke Muqaabale Me Haqeer Samjhoge) Woh Deen Se Aise Khaarij Ho Jaa’enge Jaise Teer Shikaar Se Khaarij Ho Jaata Hai Aur Waapas Nahin Aa’enge Jab Tak Teer Kamaan Me Waapas Nahin Aa Jaa’e Woh Saari Makhlooq Me Sab Se Bure Honge, Khush-Khabri Ho Use Jo Unhe’n Qatl Kare Aur Jise Woh Qatl Kare’n. Woh Allah ‘Azza Wa-Jalla Kee Kitaab Kee Taraf Bulaa’enge Lekin Us Ke Saath Un Ka Ko’i Ta’alluq Nahin Hoga Un Ka Qaatil Un Kee Nisbat Allah Ta’ala Se Ziyaada Qareeb Hoga. Sahaba-e Kiram Ne ‘Arz Kiya: Ya Rasool Allah! Un Kee Nishaani Kya Hai? Farmaya: Sir Mundaana.”
“Ek Aur Riwayat Me Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Isi Tarh Farmaya: Un Kee Nishaani Sar Mundaana Aur Hamesha Mundaa’e Rakhna Hai.”
–
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/243, Raqm-4765,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/60, Raqm-169,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/224, Raqm-13362,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/161, Raqm-2649,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/171,
Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,07/15, Raqm-2391, 2392,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 05/426, Raqm-3117,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 08/121, Raqm-7553,
Maruzi As-Sunnah, 01/20, Raqm-52,
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-23, 24, 25, Raqm-12.]