١١. عَنْ أبِي سَلَمَةَ وَ عَطَاءِ بْنِ يَسَارٍ: أنَّهُمَا أتَيَا أبَا سَعِيْدٍ الْخُدْرِيَّ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ فَسَألاَهُ عَنِ الْحَرُوْرِيَّةِ أ سَمِعْتَ النَّبِيَّ صلي الله عليه وآله وسلم ؟ قَالَ: لَا أدْرِي مَا الْحَرُوْرِيَّةُ؟ سَمِعْتُ النَّبِيَّ صلي الله عليه وآله وسلم يَقُولُ: يَخْرُجُ فِي هَذِهِ الْأمَّةِ وَ لَمْ يَقُلْ مِنْهَا قَوْمٌ تَحْقِرُوْنَ صَلَاتَکُمْ مَعَ صَلَاتِهِمْ يَقْرَءُوْنَ الْقُرْآنَ لَا يُجَاوِزُ حُلُوْقَهُمْ أوْ حَنَاجِرَهُمْ يَمْرُقُونَ مِنَ الدِّيْنِ مُرُوقَ السَّهْمِ مِنَ الرَّمِيَّةِ. . . الحديث. مُتَّفَقٌ عَلَيْهِ.
11. “Hazrat Aboo Salamah Aur Hazrat ‘Ata’ Bin Yasar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Dono’n Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Khidmat Me Haazir Hu’e Aur ‘Arz Kiya: Kya Aap Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Harooriyya Ke Baare Me Kuchh Suna Hai? To Unhone Farmaya Ki Mujhe Nahin Ma’loom Ki Harooriyya Kya Hai? Haa’n Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna Hai Ki Is Ummat Me Se Kuchh Aise Log Niklenge Aur Yeh Nahin Farmaya Ki Ek Aisi Qaum Niklegi (Balki Log Farmaya) Jin Kee Namazo’n Ke Muqaabale Me Tum Apni Namazo’n Ko Haqeer Jaanoge, Woh Qur’ane Majeed Kee Tilaawat Karenge Lekin Ye (Qur’an) Un Ke Halq Se Nahin Utrega Ya Yeh Farmaya Ki Un Ke Narkhare Se Neeche Nahin Utrega Aur Woh Deen Se Yoo’n Khaarij Ho Jaa’enge Jaise Teer Shikaar Se Khaarij Ho Jaata Hai.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2540, Raqm-6532,
Bukhari Fi As-Sahih, 04/1928, Raqm-4771,
Muslim Fi As-Sahih, 02/743, Raqm-1064,
Malik Fi Al-Muwatta’, 01/204, Raqm-478,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 03/31, Raqm-8089,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/60, Raqm-11596,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/132, Raqm-6737,
Bukhari Khalq Af’al Al-Ibad, 01/53,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/560, Raqm-37920,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/430, Raqm-1233,
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-22, 23, Raqm-11.]