١٠. عَنْ أَبِي سَعِيْدٍ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ: أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ ذَکَرَ قَومًا يَکُونُونَ فِي أُمَّتِهِ يَخْرُجُونَ فِي فُرْقَةٍ مِنَ النَّاسِ سِيْمَاهُمُ التَّحَالُقُ، قَالَ: هُمْ شَرُّالْخَلْقِ (أَوْ مِنْ أَشَرِّالْخَلْقِ) يَقْتُلُهُمْ أَدْنَی الطَّائِفَتَيْنِ إِلَی الْحَقِّ، قَالَ: فَضَرَبَ النَّبِيُّ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ لَهُمْ مَثَلاً أَوْ قَالَ قَولاً: الرَّجُلُ يَرْمِی الرَّّمِيَّةَ (أَوْ قَالَ: الْغَرَضَ) فَيَنْظُرُ فِي النَّصْلِ فَلاَ يَرَی بَصِيْرَةً وَيَنْظُرُ فِي النَّضِيِّ فَلاَ يَرَی بَصِيرَةً وَيَنْظُرُ فِي الْفُوقِ فَلَا يَرَی بَصِيْرَةً. رَوَاهُ مُسْلِمٌ.
10. “Hazrat Aboo Sa’iyd RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ek Qaum Ka Zikr Kiya Jo Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ummat Me Paida Hogi, Us Ka Zahoor Us Waqt Hoga Jab Logo’n Me Firqa-Bandi Ho Jaa’egi. Un Kee ‘Alaamat Sar-Mundaana Hogi Aur Woh Makhlooq Me Sab Se Bad-Tar (Ya Bad-Tareen) Honge Aur Unhe’n Do Jama’ato’n Me Se Woh Jama’at Qatl Karegi Jo Haqq Ke Ziyaada Qareeb Hogi, Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Un Logo’n Kee Ek Misaal Bayan Farma’i Ki Jab Aadami Kisi Shikaar Ya Nishaana Ko Teer Maarta Hai To Par Ko Dekhta Hai Us Me Kuchh Asar Nahin Hota Aur Teer Kee Lakdi Ko Dekhta Hai Aur Waha’n Bhi Asar Nahin Hota, Phir Us Hisse Ko Dekhta Hai Jo Teer-Andaaz Kee Chutki Me Hota Hai To Waha’n Bhi Kuchh Asar Nahin Paata.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 02/745, Raqm-1065,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/05, Raqm-11031,
‘Abd Allah Bin Ahmad Fi As-Sunnah, 02/622, Raqm-1482,
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-21, 22, Raqm- 10.]