٩. عَنْ زَيْدِ بْنِ وَهْبٍ الْجُهْنِيِّ أَنَّهُ کَانَ فِي الْجَيْشِ الَّذِيْنَ کَانُوا مَعَ عَلِيٍّ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ الَّذِيْنَ سَارُوا إِلَي الْخَوَارِجِ، فَقَالَ عَلِيٌّ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ: أَيَّهَا النَّاسُ إِنِّي سَمِعْتُ رَسُولَ ﷲ صلي الله عليه وآله وسلم يَقُولُ: يَخْرُجُ قَوْمٌ مِنْ أُمَّتِي يَقْرَءُوْنَ القُرْآنَ لَيْسَ قِراءَتُکُمْ إِلَي قِرَاءَتِهِمْ بِشَيءٍ وَلاَ صَلَاتُکُمْ إِلَي صَلاَتِهِمْ بِشَيءٍ وَلاَ صِيَامُکُمْ إِلَي صِيَامِهِمْ بِشَيءٍ يَقْرَءُوْنَ القُرآنَ يَحْسِبُونَ أَنَّهُ لَهُمْ، وَهُوَ عَلَيْهِمْ لاَ تُجَاوِزُ صَلَاتُهُمْ تَرَاقِيَهُمْ يَمْرُقُونَ مِنَ الإِسْلاَمِ کَمَا يَمْرُقُ السَّهْمُ مِنَ الرَّمِيَّةِ. . . الحديث. رَوَاهُ مُسْلِمٌ.
09. “Zayd Bin Wahb Juhni Bayan Karte Hain Ki Woh Us Lashkar Me They Jo Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath Khawaarij Se Jang Ke Liye Gaya Tha. Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Farmaya: Ae Logo! Mein Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Meri Ummat Me Se Ek Qaum Zaahir Hogi Woh Aisa Qur’an Padhenge Ki Un Ke Padhne Ke Saamne Tumhare Qur’an Padhne Kee Ko’i Haisiyyat Na Hogi, Na Un Kee Namazo’n Ke Samne Tumhaari Namazo’n Kee Kuchh Haisiyyat Hogi Aur Na Hee Un Ke Rozo’n Ke Saamne Tumhare Rozo’n Kee Ko’i Haisiyyat Hogi, Woh Yeh Samajh Kar Qur’an Padhenge Ki Woh Un Ke Liye Mufeed Hai Lekin Dar Haqeeqat Woh Un Ke Liye Muzirr Hoga, Namaz Un Ke Gale Ke Neeche Se Nahin Utar Sakegi Aur Woh Islam Se Aise Nikal Jaa’enge Jaise Teer Shikaar Se Nikal Jaata Hai.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 02/748, Raqm-1066,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/244, Raqm-4768,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/163, Raqm-8571,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/91, Raqm-706,
Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 10/147,
Bazzar Al-Musnad 06/197, Raqm-581,
Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/445, 446,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/170,
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’,Safha-20, 21, Raqm-09.]