٨. عَنْ أبِي سَعِيْدٍ الْخُدْرِيِّ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ قَالَ: يَخْرُجُ نَاسٌ مِنْ قِبَلِ الْمَشْرِقِ وَ يَقْرَءُوْنَ الْقُرْآنَ لَا يُجَاوِزُ تَرَاقِيَهُمْ يَمْرُقُونَ مِنَ الدِّيْنِ کَمَا يَمْرُقُ السَّهْمُ مِنَ الرَّمِيَّةِ، ثُمَّ لَا يَعُوْدُوْنَ فِيْهِ حَتَّی يَعُودَ السَّهْمُ إِلَی فُوقِهِ، قِيْلَ مَا سِيْمَاهُمْ؟ قَالَ: سِيْمَاهُمُ التَّحْلِيْقُ أوْ قَالَ: التَسْبِيْدُ. رَوَاهُ الْبُخَارِيُّ.
وَ فِي رِوَايَةٍ: عَنْ يُسَيْرِ بْنِ عَمْرٍو، قَالَ: سَألْتُ سَهْلَ بْنَ حُنَيفٍ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ هَلْ سَمِعْتَ النَّبِيَّ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ يَذْکُرُ الْخَوَارِجَ؟ فَقَالَ: سَمِعْتُهُ وَ أشَارَ بِيَدِهِ نَحْوَ الْمَشْرِقِ قَوْمٌ يَقْرَءُوْنَ الْقُرْآنَ بِألْسِنَتِهِمْ لَا يَعْدُوْا تَرَاقِيَهُمْ يَمْرُقُوْنَ مِنَ الدِّيْنِ کَمَا يَمْرُقُ السَّهْمُ مِنَ الرَّمِيَّةِ. رَوَاهُ مُسْلِمٌ.
08. “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Mashriq Kee Jaanib Se Kuchh Log Niklenge Ki Woh Qur’ane Paak Padhenge Magar Woh Un Ke Galo’n Se Neeche Nahin Utrega. Woh Deen Se Is Tarh Nikal Jaa’enge Jaise Teer Shikaar Se Paar Nikal Jaata Hai Aur Phir Woh Deen Me Waapas Nahin Aa’enge Jab Tak Teer Apni Jagah Par Waapas Na Laut Aa’e. Daryaaft Kiya Gaya Ki Un Kee Nishaani Kya Hai? Farmaya: Un Kee Nishaani Sar Mundaana Hai Ya Farmaya: Sar Mundaa’e Rakhna Hai.
Aur Muslim Kee Riwayat Me Hai: Yusayr Bin ‘Amr Kehte Hain Ki Mein Ne Hazrat Sahl Bin Hunayf RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Poochha: Kya Aap Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Khawaarij Ka Zikr Suna Hai? Unhone Farmaya: Haa’n! Mein Ne Suna Hai Aur Apne Haath Se Mashriq Kee Taraf Ishaara Kar Ke Kaha: Woh Apni Zubano’n Se Qur’an Majeed Padhenge Magar Woh Un Ke Halq Se Nahin Utrega Aur Deen Se Aise Nikal Jaa’enge Jaise Teer Shikaar Se.”
–
[Bukhari Bukhari, 06/2748, Raqm-7123,
Muslim Fi As-Sahih, 02/750, Raqm-1068,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/64, Raqm-11632,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/486,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/563, Raqm-37397,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/408, Raqm-1193,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/91, Raqm-5609,
Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/490, Raqm-909,
Aboo Nu’aym Fi Al-Musnad Al-Mustakhraj ‘Ala Sahih Al-Imam Muslim, 03/135, Raqm-239,
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-19, 20, Raqm-08.]