Posted in Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 07

٧.          عَنْ جَابِرٍ رَضِيَ ﷲ  عَنْهُ يَقُولُ: بَصَرَ عَيْنِي وَ سَمِعَ أُذُنِي رَسُولَ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ بِالْجِعْرَانَةِ وَ فِي ثَوبِ بِلَالٍ فِضَّةٌ وَ رَسُوْلُ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ يَقْبِضُهَا لِلنَّاسِ يُعْطِيْهِمْ، فَقَالَ رَجُلٌ: اعْدِلْ، قَالَ: وَيْلَکَ، وَمَنْ يَعْدِلُ إِذَا لَمْ أَکُنْ أَعْدِلُ؟ قَالَ عُمَرُ بْنُ الْخَطَّابِ: يَا رَسُولَ ﷲ، دَعْنِي أَقْتُلْ هَذَا الْمُنَافِقَ الْخَبِيْثَ؟ فَقَالَ رَسُولُ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ: مَعَاذَ ﷲ أَنْ يَتَحَدَّثَ النَّاسُ أَنِّي أَقْتُلُ أَصْحَابِي، إِنَّ هَذَا وَ أَصْحَابَهُ يَقْرَءُونَ الْقُرْآنَ لاَ يُجَاوِزُ تَرَاقِيَهُمْ يَمْرُقُوْنَ مِنَ الدِّيْنِ کَمَا يَمْرُقُ السَّهْمُ مِنَ الرَّمِيَّةِ. رَوَاهُ أَحْمَدُ وَ أَبُو نُعَيْمٍ.

07.           “Hazrat Jaabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Farmate Hain Ki Meri Aankho’n Ne Dekha Aur Kaano’n Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Suna, Ji’raanah Ke Muqam Par Hazrat Bilal RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Kapdo’n (God) Me Chaandi Thi Aur Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Us Me Se Muththiya’n Bhar-Bhar Ke Logo’n Ko ‘Ata Farma Rahe Hain To Ek Shakhs Ne Kaha: ‘Adal Kare’n. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Too Halaak Ho. Agar Mein ‘Adal Nahin Karunga To Kaun ‘Adal Karega? Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne ‘Arz Kiya Ya RasoolAllah! Mujhe Chhod De’n Ki Mein Is Khabees Munafiq Ko Qatl Kar Doo’n? To Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Mein Logo’n Ke Is Qaul Se Ki Mein Apne Saathiyo’n Ko Qatl Kar Ne Lag Gaya Hoo’n Allah Kee Panaah Chaahta Hoo’n. Be-Shak Yeh Aur Is Ke Saathi Qur’an Padhenge  Lekin Un  Ke  Halq  Se  Nahin  Utrega, Woh Deen Ke Daa’ire Se Aise Khaarij Ho Jaa’enge Jaise Teer Shikaar Se Khaarij Ho Jaata Hai.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/354, Raqm-1461,

Aboo Nu’aym Fi Al-Musnad Al-Mustakhraj ‘Ala Sahih Al-Imam Muslim, 03/127, Raqm-2372,

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-18, 19, Raqm-07.]