Posted in Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 06

٦.          عَنْ أَبِي سَعِيْدٍ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ‘ قَالَ: بَيْنَا النَّبِيُّ صلي الله عليه وآله وسلم يَقْسِمُ، جَاءَ عَبْدُاﷲِ بْنُ ذِي الْخُوَيْصِرَةِ التَّمِيْمِيُّ فَقَالَ: اعْدِلْ يَا رَسُولَ ﷲ! قَالَ: وَ يْحَکَ، وَمَنْ يَعْدِلُ إِذَا لَمْ أَعْدِلْ. قَالَ عُمَرُ بْنُ الْخَطَّابِ: ائْذَنْ لِي فَأَضْرِبَ عُنُقَهُ، قَالَ: دَعْهُ، فَإِنَّ لَهُ أَصْحَابًا، يَحْقِرُ أَحَدُکُمْ صَلَاتَهُ مَعَ صَلَاتِهِ وَ صِيَامَهُ مَعَ صِيَامِهِ، يَمْرُقُوْنَ مِنَ الدِّيْنَ کَمَا يَمْرُقُ السَّهْمُ مِنَ الرَّمِيَّةِ، يُنْظَرُ فِي قُذَذِهِ فَلَا يُوجَدُ فِيْهِ شَيئٌ‘ ثُمَّ يُنْظَرُ فِي نَصْلِهِ فَلَا يُوْجَدُ فِيْهِ شَيئٌ ثُمٌ يُنْظَرُ فِي رِصَافِهِ فَلَا يُوْجَدُ فِيْهِ شَيئٌ، ثُمَّ يُنْظَرُ فِي نَضِيِّهِ فَلَا يُوْجَدُ فِيْهِ شَيئٌ، قَدْ سَبَقَ الفَرْثَ وَالدَّمَ. . . الحديث. مُتَّفَقٌ عَلَيْهِ.

06.          “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Maale Ghanimat Taqseem Farma Rahe They Ki ‘Abd Allah Bin Dhu Al-Khuwaysarah Tameemi Aaya Aur Kehne Laga: Ya RasoolAllah! Insaaf Se Taqseem Keeji’e (Us Ke Is Ta’n Par) Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Kambakht Agar Mein Insaaf Nahin Karta To Kaun Karta Hai? Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne ‘Arz Kiya: Ya RasoolAllah! Ijaazat ‘Ata Farma’iye Mein Is (Khabees) Kee Gardan Uda Doo’n, Farmaya: Rehne Do Is Ke Kuchh Saathi Aise Hain (Ya Honge)  Ki  Un Kee  Namaazo’n  Aur Un Ke Rozo’n Ke Muqaabale Me Tum Apni Namazo’n Aur Rozo’n Ko Haqeer Jaanoge. Lekin Woh Log Deen Se Is Tarh Khaarij Honge Jis Tarh Teer Nishaana Se Paar Nikal Jaata Hai. (Teer Phainkne Ke Baa’d) Teer Ke Par Ko Dekha Jaa’ega To Us Me Bhi Khoon Ka Ko’i Asar Na Hoga. Teer Kee Baad Ko Dekha Jaa’ega To Us Me Bhi Khoon Ka Ko’i Nishaan Na Hoga Aur Teer (Jaanwar Ke) Gobar Aur Khoon Se Paar Nikal Chuka Hoga. (Aisi Hee In Khabeeso’n Kee Misaal Hai Ki Deen Ke Saath Un Ka Sire Se Ko’i Ta’alluq Na Hoga).”

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2540, Raqm-6534, 6532,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1321, Raqm-3414,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1928, Raqm-4771,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2281, Raqm-5811,

Muslim Fi As-Sahih, 02/744, Raqm-1064,

Nasa’i Fi As-Sunan, 07/119, Raqm-4103,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/355, Raqm-11220,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/61, Raqm-172,

Ibn Al-Jarud Al-Muntaqa, 01/272, Raqm-1083,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/140, Raqm-6741,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/160, Raqm-2647,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/56, Raqm-11554, 14861,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/562, Raqm-37932,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 10/146, Bazzar Al-Musnad 09/305, Raqm-3846,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/171, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/35, Raqm-9060,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/298, Raqm-1022,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/270, Raqm-774,

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-16, 17, 18, Raqm-06.]