Posted in Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 32

٣٢.          عَنْ أَبِي بَکْرَةَ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ: أَنَّ نَبِيَّ ﷲ صلي الله عليه وآله وسلم مَرَّ بِرَجُلٍ سَاجِدٍ وَهُوَ يَنْطَلِقُ إِلَي الصَّلاَةِ فَقَضَي الصَّلَاةَ وَرَجَعَ عَلَيْهِ وَهُوَ سَاجِدٌ فَقَامَ النَّبِيُّ صلي الله عليه وآله وسلم، فَقَالَ: مَنْ يَقْتُلُ هَذَا؟ فَقَامَ رَجُلٌ فَحَسَرَ عَنَ يَدَيْهِ فَاخْتَرَطَ سَيْفَهُ وَهَزَّهُ ثُمَّ قَالَ: يَانَبِيَّ ﷲ، بِأَبِي أَنْتَ وَأُمِّي، کَيْفَ أَقْتُلُ رَجُلاً سَاجِدًا يَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ ﷲ وَأَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ؟ ثُمَّ قَالَ: مَنْ يَقْتُلُ هَذَا؟ فَقَامَ رَجُلٌ، فَقَالَ: أَنَا فَحَسَرَ عَنْ ذِرَاعَيْهِ وَاخْتَرَطَ سَيْفَهُ وَهَزَّهُ حَتَّي أَرْعَدَتْ يَدُهُ، فَقَالَ، يَانَبِيَّ ﷲ، کَيْفَ أَقْتُلُ رَجُلاً سَاجِدًا يَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ ﷲ وَأَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ؟ فَقَالَ النَّبِيُّ صلي الله عليه وآله وسلم: وَالَّذِي نَفْسُ مُحَمَّدٍ بِيَدِهِ، لَوْ قَتَلْتُمُوهُ لَکَانَ أَوَّلَ فِتْنَةٍ وَآخِرَهَا.

رَوَاهُ أَحْمَدُ وَابْنُ أَبِي عَاصِمٍ.

إِسْنَادُهُ صَحِيْحٌ وَرِجَالُهُ کُلُّهُمْ ثِقَاتٌ کَمَا قَالَ ابْنُ أَبِي عَاصِمٍ وَالْهَيْثَمِيُّ.

32.          “Hazrat Aboo Bakrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ek  Shakhs  Ke Paas Se Guzre  Jo Haalate  Sajda  Me  Tha  Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Namaz Ke Liye Tashreef Le Ja Rahe They, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaz Ada Kee Aur Us Kee Taraf Laute Aur Woh Us Waqt Bhi (Halate) Sajda Me Tha, Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Khade Ho Ga’e Phir Farmaya: Kaun Ise Qatl Karega? To Ek Aadami Khada Hu’a Us Ne Apne Baazu Chadhaa’e Talwaar Soonti Aur Use Lehraaya (Us Kee Taraf Dekha To Us Kee Zaahiri Wad‘-o Qat‘a Ko Dekh Kar Muta’assir Ho Gaya). Phir ‘Arz Kiya: Ya NabiyyAllah! Mere Maa’n Baap Aap Par Qurban! Mein Kaise Us Shakhs Ko Qatl Kar Doo’n Jo Haalate Sajda Me Hai Aur Gawaahi Deta Hai Ki Allah Ke Siwa Ko’i Ma’bood Nahin Aur Be-Shak Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Us Ke Bande Aur Rasool Hain? Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Kaun Ise Qatl Karega? To Ek Shakhs Khada Hu’a, ‘Arz Kiya: Mein, To Us Ne Apne Baazu Chadhaa’e Apni Talwaar Soonti Aur Use Lehraaya (Use Qatl Kar Ne Hee Laga Tha) Ki Us Ke Haath Kaanpe, ‘Arz Kiya, Ae Allah Ke Nabi! Mein Kaise Aise Shakhs Ko Qatl Kar Doo’n Jo Haalate Sajda Me Gawaahi Deta Hai Ki Allah Ke Siwa Ko’i Ma’bood Nahin Aur Be-Shak Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Us Ke Bande Aur Rasool Hain? To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Us Zaat Kee Qasam Jis Ke Qabza-e Qudrat Me Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Jaan Hai! Agar Tum Use Qatl Kar Dete To Woh Fitna Ka Awwal-o Aakhir Tha (Ya’ni Yeh Fitna Isi Par Khatm Ho Jaata).”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/42, Raqm-19536,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/457, Raqm-938,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 06/225,

Harith Fi Al-Musnad (Zawa’id Al-Haythami) 02/713, Raqm-703,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jami’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/131,

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-45, 46, Raqm-32.]