Posted in Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 31

٣١.          عَنْ أَبِي سَعِيدٍ الْخُدْرِيِّ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ: أَنَّ أَبَا بَکْرٍ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ جَاءَ إِلَی رَسُولِ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ، فَقَالَ: يَارَسُولَ ﷲ، إِنِّي مَرَرْتُ بِوَادٍ کَذَا وَکَذَا فَإِذَا رَجُلٌ مُتَخَشِّعٌ، حَسَنُ الْهَيْئَةِ، يُصَلِّي فَقَالَ لَهُ النَّبِيُّ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ: اذْهَبْ إِلَيْهِ، فَاقْتُلْهُ، قَالَ: فَذَهَبَ إِلَيْهِ أَبُوبَکْرٍ، فَلَمَّا رَآهُ عَلَی تِلْکَ الْحَالِ کَرِهَ أَنْ يَقْتُلَهُ، فَرَجَعَ إِلَی رَسُولِ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ، قَالَ: فَقَالَ النَّبِيُّ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ لِعُمَرَ: اذْهَبْ فَاقْتُلْهُ فَذَهَبَ عُمَرُ فَرَآهُ عَلَی تِلْکَ الْحَالِ الَّتِي رَآهُ أَبُوبَکْرٍ قَالَ: فَکَرِهَ أَنْ يَقْتُلَهُ، قَالَ: فَرَجَعَ فَقَالَ: يَارَسُولَ ﷲ، إِنِّي رَأَيْتُهُ يُصَلِّي مُتَخَشِّعًا فَکَرِهْتُ أَنْ أَقْتُلَهُ، قَالَ: يَا عَلِيُّ اذْهَبْ فَاقْتُلْهُ، قَالَ: فَذَهَبَ عَلِيٌّ، فَلَمْ يَرَهُ فَرَجَعَ عَلِيٌّ، فَقَالَ: يَارَسُولَ ﷲ، إِنَّهُ لَمْ يَرَهْ، قَالَ: فَقَالَ النَّبِيُّ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ: إِنَّ هَذَا وَأَصْحَابَهُ يَقْرَءُونَ الْقُرآنَ لاَ يُجَاوِزُ تَرَاقِيَهُمْ، يَمْرُقُونَ مِنَ الدِّيْنِ کَمَا يَمْرُقُ السَّهْمُ مِنَ الرَّمِيَةِ ثُمَّ لاَ يَعُودُونَ فِيْهِ حَتَّی يَعُودُ السَّّهْمُ فِي فُوقِهِ فَاقْتُلُوهُمْ هُمْ شَرُّالْبَرِيَةِ. رَوَاهُ أَحْمَدُ وَرِجَالُهُ ثِقَاتٌ.

31.          “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Hazrat Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Huzoor Nabiyye   Akram  SallAllahu  Ta’ala  ‘Alayhi  Wa-Aalihi  Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me Haazir Ho Kar ‘Arz Kiya: Ya RasoolAllah! Mein Fula’n Fula’n Waadi Se Guzra To Mein Ne Ek Nihaayat Mutawaaze’ Zaahiran Khoobsoorat Dekhaa’i Dene Waale Shakhs Ko Namaz Padhte Dekha. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Un Se Farmaya: Us Ke Paas Jaa Kar Use Qatl Kar Do. Raawi Ne Kaha Ki Hazrat Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Us Kee Taraf Ga’e To Unhone Jab Use Is Haal Me (Namaz Padhte) Dekha To Use Qatl Karna Munaasib Na Samjha Aur Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me (Waise Hee Laut Aa’e, Raawi Ne Kaha Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Farmaya: Jaa’o Use Qatl Karo, Hazrat ‘Umar Ga’e Aur Unhone Bhi Use Isi Haalat Me Dekha Jaise Ki Hazrat Aboo Bakr Ne Dekha Tha. Unhone Bhi Us Ke Qatl Ko Na-Pasand Kiya. Kaha Ki Woh Bhi Laut Aa’e. Aur ‘Arz Kiya: Ya RasoolAllah! Mein Ne Use Nihaayat Khushoo’-o Khuzoo’ Se Namaz Padhte Dekha To (Is Haalat Me) Use Qatl Karna Pasand Na Kiya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Ae ‘Ali! Jaa’o Use Qatl Kardo Kaha Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Tashreef Le Ga’e, To Unhe’n Woh Nazar Na Aaya To Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Laut Aa’e, Phir ‘Arz Kiya: Ya RasoolAllah! Woh Kahi’n Dikhaa’i Nahin Diya. Kaha Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Yaqeenan Yeh Aur Is Ke Saathi Qur’an Padhenge Lekin Woh Un Ke Galo’n Se Neeche Nahin Utrega,  Woh Deen Se Is Tarh Nikal Jaa’enge Jaise Teer Shikaar Se Nikal Jaata Hai Phir Woh Us Me Palat Kar Nahin Aa’einge Yaha’n Tak Ki Teer Palat Kar Kamaan Me Na Aa Jaa’e (Ya’ni Un Ka Palat Kar Deen Kee Taraf Lautna Na-Mumkin Hai) So Tum Unhe’n (Jab Bhi Paa’o) Qatl Kar Do, Woh Bad-Tareen Makhlooq Hain.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/15, Raqm-11133,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 06/225,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, Raqm-12/229,

Ibn Hazm Fi Al-Muhalla, 11/104,

Shawkani Fi Nayl-ul-Awtar Min Asrar Muntaqa Al-Akhbar, 07/351,

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-43, 44, 45, Raqm-31.]