﷽
١. عَنْ أبِي سَعِيْدٍ الْخُدْرِيِّ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ يَقُولُ: بَعَثَ عَلِيُّ بْنُ أبِي طَالِبٍ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ إِلَی رَسُولِ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ مِنَ اليمن بِذُهَيْبَةٍ فِي أدِيْمٍ مَقْرُوْظٍ لَمْ تُحَصَّلْ مِنْ تُرَابِهَا. قَالَ: فَقَسَمَهَا بَيْنَ أرْبَعَةِ نَفَرٍ بَيْنَ عُيَيْنَةَ ابْنِ بَدْرٍ وَ أقْرَعَ بْنِ حَابِسٍ وَ زَيْدِ الْخَيْلِ وَ الرَّابِعُ إِمَّا عَلْقَمَةُ وَ إِمَّا عَامِرُ بْنُ الطُّفَيْلِ، فَقَالَ رَجُلٌ مِنْ أصْحَابِهِ: کُنَّا نَحْنُ أحَقَّ بِهَذَا مِنْ هَؤُلَاءِ قَالَ: فَبَلَغَ ذَلِکَ النَّبِيَّ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ، فَقَالَ: ألاَ تَأمَنُوْنِي وَ أنَا أمِيْنُ مَنْ فِي السَّمَاءِ يَأتِينِي خَبَرُ السَّمَاءِ صَبَاحًا وَ مَسَاءً، قَالَ: فَقَامَ رَجُلٌ غَائِرُ العَيْنَيْنِ، مُشْرِفُ الْوَجْنَتَيْنِ، نَاشِزُ الجَبْهَةِ، کَثُّ اللِّحْيَةِ، مَحْلُوقُ الرَّأسِ، مُشَمَّرُ الإِزَارِ. فَقَالَ: يَارَسُولَ ﷲ، اتَّقِ ﷲ، قَالَ: وَيْلَکَ أوَلَسْتُ أحَقَّ أهْلِ الأرْضِ أنْ يَتَّقِيَ ﷲ؟ قَالَ: ثُمَّ وَلَّی الرَّجُلُ، قَالَ خَالِدُ بْنُ الوليد: يَا رَسُولَ ﷲ! ألاَ أضْرِبُ عُنُقَهُ؟ قَالَ: لاَ، لَعَلَّهُ أنْ يَکُونَ يُصَلِّي. فَقَالَ خَالِدٌ: وَ کَمْ مِنْ مُصَلٍّ يَقُولُ بِلِسَانِهِ مَا لَيْسَ فِي قَلْبِهِ، قَالَ رَسُولُ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ: إِنِّي لَمْ أوْمَرْ أنْ أنْقُبَ عَنْ قُلُوبِ النَّاسِ، وَلاَ أشُقَّ بُطُونَهُمْ، قَالَ: ثُمَّ نَظَرَ إِلَيْهِ وَهُوَ مُقَفٍّ، فَقَالَ: إِنَّهُ يَخْرُجُ مِنْ ضِئْضِيئِ هَذَا قَوْمٌ يَتْلُوْنَ کِتَابَ ﷲ رَطْبًا لَا يُجَاوِزُ حَنَاجِرَهُمْ يَمْرُقُوْنَ مِنَ الدِّيْنِ کَما يَمْرُقُ السَّهْمُ مِنَ الرَّمِيَّةِ. وَ أظُنُّهُ قَالَ: لَئِنْ أدْرَکْتُهُمْ لَأقْتُلَنَّهُمْ قَتْلَ ثَمُوْدَ. مُتَّفَقٌ عَلَيْهِ.
01. “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmaate Hain Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Yaman Se Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Chamde Ke Thaile Me Bhar Kar Kuchh Sona Bheja, Jis Se Abhi Tak Mitti Bhi Saf Nahin Kee Ga’i Thi. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Woh Sona Chaar-04 Aadmiyo’n Me Taqseem Farma Diya, Uyaynah Bin Badr, Aqra’a Bin Habis Aur Zayd Bin Khayl Aur Chauthe Alqamah Ya ‘Aamir Bin Tufayl Ke Darmiyan. Is Par Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke As’haab Me Se Kisi Ne Kaha: Un Logo’n Se To Ham Ziyaada Haqq-Daar They. Jab Yeh Baat Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Tak Pahonchi To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Kya Tum Mujhe Amaanatdaar Shumaar Nahin Karte? Haala’n Ki Aasmaan Waalo’n Ke Nazdeek To Mein Ameen Hoo’n. Is Kee Khabre’n To Mere Paas Sub’h-o Shaam Aati Rehti Hain. Raawi Ka Bayan Hai Ki Phir Ek Aadami Khada Ho Gaya Jis Kee Aankhe’n Andar Ko Dhansee Hu’i’n, Rukhsaaro’n Kee Haddiya’n Ubhri Hu’i’n, Oonchi Peshaani, Ghani Daadhi, Sar Munda Hu’a Aur Ooncha Tehband Baandhe Hu’e Tha, Woh Kehne Laga: Ya RasoolAllah! Khuda Se Dare’n, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Too Halaak Ho, Kya Mein Tamaam Ahle Zameen Se Ziyaada Khuda Se Darne Ka Mustahiq Nahin Hoo’n? So Jab Woh Aadami Jaane Ke Liye Muda To Hazrat Khalid Bin Walid RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne ‘Arz Kiya, Ya RasoolAllah! Mein Is Kee Gardan Na Uda Doo’n? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Aisa Na Karo, Shaayad Yeh Namazi Ho, Hazrat Khalid RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne ‘Arz Kiya: Bohat Se Aise Namazi Bhi To Hain Ki Jo Kuchh Un Kee Zubaan Par Hai Woh Dil Me Nahin Hota. Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Mujhe Yeh Hukm Nahin Diya Gaya Ki Logo’n Ke Dilo’n Me Naqb Laga’u’n Aur Un Ke Pet Chaak Karoo’n. Raawi Ka Bayan Hai Ki Woh Palta To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Phir Us Kee Jaanib Dekha To Farmaya: Us Kee Pusht Se Aise Log Paida Honge Jo Allah Kee Kitab Kee Tilaawat Se Zubaan Tar Rakhkhenge, Lekin Qur’an Un Ke Halq Se Neeche Nahin Utrega. Deen Se Is Tarh Nikal Jaa’enge Jaise Teer Shikaar Se Paar Nikal Jaata Hai. Mera Khayaal Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Yeh Bhi Farmaya Tha Ki Agar Mein Un Logo’n Ko Paa’u’n To Qaume Samood Kee Tarh Unhe’n Qatl Kar Doo’n.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1581, Raqm-4094,
Muslim Fi As-Sahih, 02/742, Raqm-1064,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/04,Raqm-11021,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 04/71,Raqm-2373,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/205, Raqm-25,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/390, Raqm-1163,
Aboo Nu’aym Fi Al-Musnad Al-Mustakhraj ‘Ala Sahih Al-Imam Muslim, 03/128, Raqm-2375,
Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 05/71,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,08/68, Raqm-4094,
Hashiyat Ibn Al-Qayyim, 13/16,
Suyooti Fi Al-Dibaj ‘Ala Sahih Muslim Ibn Al-Hajjaj, 03/160, Raqm-1064,
Ibn Taymiyyah Fi Al-Sarim-ul-Maslool ‘Ala Shatim Al-Rasool, 01/188,192,
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-07, 08, 09, Raqm-01.]